Sunday, June 29, 2008

Dheere Dheere

Awesome romantic song from movie 'Shaurya'. Beautifully sung by Adnan and Sunidhi.

Koi aarzoo geet ga to rahi hai
Magar dheere dheere
Magar dheere dheere

Meri zindagi mein tu aa to rahi hai
Magar dheere dheere
Magar dheere dheere
Magar dheere dheere

Jage jage na jane kaise hai yeh armaan
Hoooo lamhe lamhe dil mein nache jaise pariya
Ohh Jage jage na jane kaise hai yeh armaan
Hooo lamhe lamhe dil mein nache jaise pariya

Reshmi si hawayein aate jate sunaye
Chahat ki ek daastan
Magar dheere dheere
Magar dheere dheere
Dheere dheere

Koi aarzoo geet ga to rahi hai
Magar dheere dheere
Magar dheere dheere..
Aaa dheere dheere
Magar dheere dheere

Haule haule bane hai kaise afsane
Khoye khoye mile hai kaise anjane
Haule haule bane hai kaise afsane
Khoye khoye mile hai kaise anjane

Laga raha hai abb aise
Kaun kehta ho jaise
Badlega sara sama
Magar Dheere Dheere
Magar Dheere Dheere
Dheere Dheere
Magar Dheere Dheere

Koi aarzoo geet ga to rahi hai
Magar dheere dheere
Magar dheere dheere..
Magar dheere dheere
Dheere dheere dheere
Magar dheere dheere




Movie : Shaurya
Singers: Adnan Sami and Sunidhi Chauhan

Labels: , , ,

Qabr

I had posted the first two lines earlier as well. The third line is inspired from a Nida Fazli's poem and I think it fits well to form a Triveni.

Teri yaad ganga mein baha aaya hoon
Jism se rooh ko judaa kar aya hoon

Kabhi ana tum mere qabr par fateha padhne

--Bibhuti

Labels: ,

Saturday, June 28, 2008

Ranjish Hi Sahi

Ranjish hi sahi dil hi dukhane ke liye aa
Aa phir se mujhe chhod ke jaane ke liye aa

Pehle se marasim na sahi phir bhi kabhi to
Rasm-o-rah-e-duniya hi nibhane ke liye aa

Ab tak dil-e-khushfeham ko tujh se hain umeedain
Ye aakhri shamein bhi bujhane ke liye aa

Kis kis ko batayenge judai ka sabab hum
Tu mujhse khafa hai to zamane ke liye aa

Ek umr se hoon lazzat-e-girya se bhi mehroom
Aye raahat-e-jaan mujhko rulaane ke liye aa

Kuchh to mere pindar-e-mohabbat ka bharam rakh
Tu bhi to kabhi mujhko manaane ke liye aa

Maana ke mohabbat ka chhupana hai mohabbat
Chupke se kisi roz jataane ke liye aa

Jaise tumhein aate hain na aane ke bahaane
Aise hi kisi roz na jaane ke liye aa

Giriya - Weeping, Crying
Bharam - Consideration, Regard
Pindaar - Arrogance, Ego, Pride, Self-esteem
Marasim - Agreement, Relationship
Ranjish - Anguish, Distress, Enmity

Poet: Ahmed Faraz

Labels: ,

Thursday, June 26, 2008

Apne Haathon Ki Lakeeron

Apne haathon ki lakeeron mein basale mujhko
Main hun tera, naseeb apna banaa le mujhko

Mujhse tu poochhne ayaa hai wafaa ke maani
Yeh teri sadaa-dilii maar na daale mujhko

Khud ko main baant na daaluun kahin daaman daaman
Kar diyaa tune agar mere hawaale mujhko

Waadaa phir waadaa hai main zahar bhii pii jaauun "Qateel"
Shart ye hai koi baahon mein sambhale mujhko

--A song by Jagjit Singh from album 'A Milestone'

Labels: ,

Wednesday, June 25, 2008

Yeh Kahan Aa Gaye Hum

Main aur meri tanhayee aksar yeh baatein karte hain
Tum hoti to kaisa hota, tum yeh kehti, tum woh kehti
Tum is baat pe hairaan hoti, tum us baat pe kitni hansti
Tum hoti to aisa hota, tum hoti to waisa hota
Main aur meri tanhaai aksar yeh baatein karte hain

Yeh kahan aa gaye hum
Yunhi saath saath chalte
Teri baahon mein hai jaanam
Mere jism-o-jaan pighalte
Yeh kahan aa gaye hum
Yunhi saath saath chalte

Yeh raat hai, ya tumhaari zulfein khuli hui hain
Hai chaandni ya tumhaari nazrein se meri raatein dhuli hui hain
Yeh chaand hai ya tumhaara kangan
Sitaarein hai ya tumhaara aanchal
Hawa ka jhonka hai ya tumhaare badan ki khushboo
Yeh pattiyon ki hai sarsaraahat ke tumne chupke se kuch kaha hai
Yeh sochta hoon main kab se gumsum
Ke jab ki mujhko bhi yeh khabar hai
Ke tum nahin ho, kahin nahin ho
Magar yeh dil hai ke keh raha hai
Ke tum yahin ho, yahin kahin ho

O, tu badan hai main hoon chhaaya
Tu na ho to main kahan hoon
Mujhe pyaar karne waale
Tu jahan hai main wahan hoon
Hamein milna hi tha hamdam
Issi raah bhi nikalte
Yeh kahan aa gaye hum
Yunhi saath saath chalte

Mmm, meri saans saans maheke
Koi bheena bheena chandan
Tera pyaar chaandni hai
Mera dil hai jaise aangan
Hui aur bhi mulaayam
Meri shaam dhalte dhalte
Yeh kahan aa gaye hum
Yunhi saath saath chalte


Majboor yeh haalaat, idhar bhi hai udhar bhi
Tanhayee ki ek raat, idhar bhi hai udhar bhi
Kehne ko bahut kuch hai, magar kisse kahe hum
Kab tak yunhi khaamosh rahe aur sahe hum
Dil kehta hai duniya ki har ek rasm utha de
Deewaar jo hum dono mein hai, aaj gira de
Kyoon dil mein sulagte rahe, logon ko bata de
Haan humko mohabbat hai, mohabbat hai, mohabbat
Ab dil mein yehi baat, idhar bhi hai udhar bhi

Yeh kahan aa gaye hum
Yunhi saath saath chalte
Yeh kahan aa gaye hum




--A song from movie 'Silsila'

Labels: , , , ,

Tuesday, June 24, 2008

Agar Hum Kahen

From the REC hostel days, I have been accused of listening to weird and sad songs:) I don't blame my friends as they have to bear those songs as well as the noisy version when I used to sing(rather shout) on the corridor. Also I owe a nice, soothing, happy song to my ex-roomie who almost suffered an attack and woke up suddenly from deep sleep when I played an qawwali by Abida Parveen:) So few happy songs on the way and dedicated to all my tortured friends.

Agar hum kahen aur woh muskuraa den
Hum unake liye zindagani lootaa den

Har ek mod par hum ghamon ko sazaa den
Chalo zindagi ko muhabbat banaa den

Agar Khud ko bhoole to kuchh bhi na bhoole
Ke chaahat men unaki khudaa ko bhoolaa den

Kabhi gham ki aandhi jinhen chhuu na paaye
Wafaa ke ham woh nasheman banaa den

Qayaamat ke deewaane kahate hain hum se
Chalo unake chehare se pardaa hataa den

Sazaa de silaa de, banaa de mitaa den
Magar woh koi faisalaa to sunaa den

Nasheman : Nest



--A song by Jagjit Singh from album 'Passions'

Labels: , , ,

Monday, June 23, 2008

Shab Ki Jaage

Raat bhar deed aaye nam naak mein leharate rahe
Saans ki tarah se aap aate rahe jaate rahe

Shab ki jaage hue taaroan ko bhi neend aane lagi hai
Haay! Aap ki aane ki ek aas thi ab jaane lagi

Subhu ne sej se uthate hue lee angdaayee
Aye subah tu bhi jo aayi to akeli aayee

Meri mehaboob mere hosh udane waale
Meri Masajuud meri rooh pe chhane waale

Aabhi jaa take mere sajdon ko armaan nikle
Aabhi ja take tere kadmon pe meri jaan nikle

Shabke jaage hue taaroan ko bhi neend aane lagi hai
Haay! Aap ki aane ki ek aas thi ab jaane lagi

Raat bhar deed aaye nam naak mein leharaate rahe
Saans ki tarahe se aap aate rahe jaathe rahe.

Deed : Sight
Nam Naak : Tearful, Moist
Masajuud : To Whom One Bows, Worships



--A song from movie 'Tamanna'

Labels: , , ,

Sunday, June 22, 2008

Nishan

Tumne kahin chhoo liya tha mujhe shayad
Bekhabar tha, anjaan tha, nadan tha
Ab jab tum nahin ho
To nishan ubhar ke aa rahe hain..

--Bibhuti

Labels: , ,

Aasmani Rang Ho

Asmaani rang ho
Pyaar ki boond ho
Roshni ho dhoop ho
Chahaton ki gunj ho

Aanchal mein hai
Ghanak chandni
Haathon mein woh chaand hai
Gairon se bhi hai vaasta
Apnon mein pehchaan hai

Tararuptarira tararuptarira tararuptarira
Tu zindagi
Mera izhaar hai
Pyaar hi pyaar hai
Yaaron ki yaar hai tu zindagi
Tararuptarira tararuptarira tararuptarira
Tu zindagi

Tujhse main kya kahun
Tu hi mera sukoon
Sang tere rahoon tu zindagi

Asmani rang hoon
Pyaar ki boond hoon
Roshni ka ang hoon
Main teri dhoop hoon

Tujh se hi hai meri bandagi
Tujh se meri jaan hai
Saaya tera mera aashna
Tu mera armaan hai

Lalalala lala lalalala lala lalalala lala
Tu zindagi
Mera izhaar tu
Mera iqraar tu
Pyaar hi pyaar tu
Tu zindagi

Tararuptarira tararuptarira tararuptarira tu zindagi




--A song from serial 'Dil MIl Gaye'

Labels:

Saturday, June 21, 2008

Nirvana

Teri yaad ganga mein baha aaya hoon
Jism se rooh ko judaa kar aya hoon

--Bibhuti

Labels:

Thursday, June 19, 2008

Kitna Pyaar Karte Hain

If Himesh can compose and sing like this then what's the need of nasal singing ? A beautiful romantic song from movie 'Banaras' and perhaps the best by Himesh.

Kitna pyar karte hain tumhe sanam
Mere dil se pooch lo na
Kitna pyar karte hain tumhe sanam
Mere dil se pooch lo na
Ho mere dil se pooch lo na

Bina saans kaise jiye ja rahe hain hum
Mere dil se pooch lo na
Pooch lo na
Mere dil se pooch lo na

Maine tere naam saari zindagi kardi
Khwaabon mein tanhaaiyon ki saadgi bhardi
Kyon sitamgar hai khudaai kaisi hoti hai judaai
Kitna sakht hota hai yeh doori ka gham
Mere dil se pooch lo na

Behte ashkon mein chhupi hai pyar ki baatein
Lamha lamha yaad aati woh mulaakaten
Chaahaton ki toooti ladiyaan kaise katati hai yeh ghadiyan
Kis tarah se karti hai sadayen sitam
Mere dil se pooch lo na
Kitna pyar karte hain tumhe sanam
Mere dil se pooch lo na



--A song from movie 'Banaras'

Labels: , , , ,

Wednesday, June 18, 2008

Kabhi Yun Bhi To Ho

Kabhi yun bhi to ho
Dariyaa kaa saahil ho, poore chaand ki raat ho
Aur tum aao
Kabhi yun bhi to ho

Kabhi yun bhi to ho
Pariyon ki mehfil ho, koi tumhaari baat ho
Aur tum aao
Kabhi yun bhi to ho

Kabhi yun bhi to ho
Ye naram mulaayam thandi hawaayen
Jab ghar se tumhaare guzaren, tumhaari khushboo churaayen
Mere ghar le aayen
Kabhi yun bhi to ho

Sooni har mehfil ho, koi naa mere saath ho
Aur tum aao
Kabhi yun bhi to ho

Kabhi yun bhi to ho
Ye baadal aisaa toot ke barse
Mere dil ki tarah milne ko, tumhaara dil bhi tarse
Tum niklo ghar se

Kabhi yun bhi to ho
Tanhaai ho dil ho, boonde hon barsaat ho
Aur tum aao

Kabhi yun bhi to ho
Dariyaa kaa saahil ho, poore chaand ki raat ho
Aur tum aao
Kabhi yun bhi to ho




--A song by Jagjit Singh from album 'Silsilay'

Calvin & Hobbes

Calvin: That's one of the remarkable things about life. It's never so bad that it can't get worse.

Calvin: There's no problem so awful that you can't add some guilt to it and make it even worse!

Calvin: I was put on this earth to accomplish a certain number of things. Right now I'm so far behind I will never die.

Dad: The world isn't fair, Calvin.
Calvin: I know, but why isn't it ever unfair in my favor?

Dad: "Once upon a time..."
Calvin: Hold it. This story doesn't have any shoot-ups in it, does it?
Dad: You mean guns? No.
Calvin: Any violence at all?
Dad: Um... not really.
Calvin: Any reference to satanism? Any profanity? Any car chases? Any lewd parts?
Dad: Of course not!
Calvin: What makes you think I'll like this?

Calvin: Psst... Susie! What's 12 + 7?
Susie: A billion.
Calvin: Thanks! Wait a minute. That can't be right... That's what she said 3 + 4 was.

Calvin: Hi, Mom! Since you're sick, I'm bringing you breakfast in bed! I prepared eggs, toast and orange juice for you all by myself.
Mum: How nice!
Calvin: The eggs kind of burned and stuck to the pan. But you can probably chip them out with this chisel.
Mum: Um... where is the toast and orange juice?
Calvin: Dad said not to tell you about that till you're better.

Calvin: How do they know the load limit on bridges, Dad?
Dad: They drive bigger and bigger trucks over the bridge until it breaks. Then they weigh the last truck and rebuild the bridge.
Calvin: Oh, I should've guessed.
Mum: Dear, if you don't know the answer, just tell him!

Hobbes: This article says that many people find Christmas the most stressful time of the year.
Calvin: I believe it. This season sure fills me with stress.
Hobbes: Really? How come?
Calvin: I hate being good.

Susie: HEY, CALVIN! Are we near a slaughterhouse, or did you forget your deodorant?!
Calvin: DROP DEAD, SUSIE! You're so ugly, I hear your mom puts a bag over your head before she kisses you goodnight!!
Calvin: It's shameless the way we flirt.

Tuesday, June 17, 2008

Ab Tere Bin

Ab Tere Bin Jeelenge Hum
Zahar Zindagi Ka Peelenge Hum
Kya Hua Jo Ek Dil Toot Gaya
Kya Hua Jo Ek Dil Toot Gaya

Ab Tere Bin Jeelenge Hum
Zahar Zindagi Ka Peelenge Hum

Teri Aashiqui Bhi Kya Rang Layi
Wafa Maine Ki Tune Ki Bewafai
Meri Bhool Thi Main Ye Kya Chahta Tha
Kisi Bewafa Se Wafa Chahta Tha
Tu Jaane Kya Bekaraari
Bedard Bemuravvat
Ja Sangdil Haseena
Dekhi Teri Mohabbat
Ab Maine Jaana Tujhko Beraham

Ab Tere Bin Jeelenge Hum
Zahar Zindagi Ka Peelenge Hum

Sanam Tod Deta Mohabbat Ke Vaade
Agar Jaan Jaata Main Tere Iraade
Kise Maine Chaaha
Kahan Dil Lagaya
Main Naadaan Tha Kuchh Samajh Hi Nahin Paaya
Mere Aansuon Ke Moti
Aankhon Se Behta Paani
Mere Toote Dil Ke Tukde
Tere Pyaar Ki Nishaani
Kaisa Main Bhoolonga Tere Sitam

Ab Tere Bin Jeelenge Hum
Zahar Zindagi Peelenge Hum
Kya Hua Jo Ik Dil Toot Gaya
Kya Hua Jo Ik Dil Toot Gaya
Ab Tere Bin Jeelenge Hum
Zahar Zindagi Peelenge Hum

Jeelenge Hum
Jeelenge Hum
Jeelenge Hum
Jeelenge Hum..




--A song from movie 'Aashiqui'

Sunday, June 15, 2008

Lakeer

Tum nahin na sahi, woh meethe afsaane reh jayenge
Zakhm na sahi, sukhe ashkon ke nishaan reh jayenge

Pani ki lakeer tere pyar ko hatheli mein bun liya humne..

--Bibhuti

Labels: ,

Thursday, June 12, 2008

Bhor

Check out this haunting number from "Indian Ocean" band. More than the lyrics, it's the singing and composition which makes it one of my all time favourite. The song gradually picks up and you will just get hooked up to the awesome guitar play. Unfortunately no video available for this song but found an extract on youtube which will give some idea about this song. Enjoy!!

Update: Thanks to Deep who uploaded the song in YouTube.

Bhor bhor bhor bhai ek udta panchi
Ja baitha ek daal, ja baitha ek dal
Khusboo daal ki manhar le, gayee manhar le gayee
Khusboo daal ki manhar le gayee gajab tha rang jama


Saans saans chadhe ishq ka jadoo, ishq ka jadoo
Saans saans chadhe ishq ka jadoo reh reh kare kamal

Saans saans chadhe ishq ka jadoo reh reh kare kamal
Are Saans saans chadhe ishq ka jadoo reh reh kare kamal
Saans saans chadhe ishq ka jadoo reh reh kare kamal

Kaun ghadi mein..

Are chuni daal thi
chuni daal thi
chuni daal thi

Kaun ghadi mein chuni daal thi, chuni daal thi
koshe sudh budh har

Bhor bhor bhor bhai ek udta panchi
Ja baitha ek daal, ja baitha ek dal
Bhor bhor bhor bhai ek udta panchi
Ja baitha ek daal, ja baitha ek dal

Panchhi kahe kis gagan udu mein, gagan udu mein

gagan udu, gagan usu, kis gagan udu mein

Panchhi kahe kis gagan udu mein behtar jo is daal
Panchhi kahe kis gagan udu mein behtar jo is daal

Pankh sunehriii...

Sehad chadh gaya
Sehad chadh gaya
Sehad chadh gaya

Pankh sunehri sehad chadh gaya
Pankh sunehri sehad chadh gaya
Pankh sunehri sehad chadh gaya

Antar tham gayee chal

Bhor bhor bhor bhai ek udta panchi
Ja baitha ek daal, ja baitha ek dal
Bhor bhor bhor bhai ek udta panchi
Ja baitha ek daal, ja baitha ek dal

Qatal bhi aisa hua ke panchhi marke malamal
Qatal bhi aisa hua ke panchhi marke malamal
Malamal hua aisa qatal bhi hua
Qatal bhi aisa hua ke panchhi marke malamal
Katra katra aasman hai bujhi asal udan

Bhor bhor bhor bhor....
Bhor bhor bhor bhor....
Bhor bhor bhor bhor....
Bhor bhor bhor bhor....





Labels: , , ,

Wednesday, June 11, 2008

Trivenis by Gulzar

Here are some Trivenis by genius Gulzar. I wish I could think 0.001% like him.

Aise bikhre hain raat din jaise
Motiyon wala haar tut gaya

Tumhi ne mujhko piroke rakha tha


Kabhi kabhi bazar main yu bhi ho jata hai
Kimmat thik thi, jeb me itne daam nahi the

Aise hi ek baar main tumko haar aaya tha


Tumhare honton pe sajee meethi baatein
Beemaar dil ka yun ilaaj kar gayi

Fareb tha, ye to bool hi gaye


Usne khushi maangi, khushi mili
Dard na chaha, dard door raha

Aisi aasaani se hum ko bhool gaya

Labels: , ,

Tuesday, June 10, 2008

Palkein Jhukao Na

I suffer from OCD (Obsessive Compulsive Disorder) when it comes to songs. There are some songs which strike me instantly and I just can't get them out of my system easily. Here is one of that kind from movie "Sehar". So romantic and soothing.

Dil toh hai bejubaan, dil ki sunao na
Baatein jo dil mein hai, hothon pe lao na
Shaam ho ya sehar ho
Dil mein tum har pehar ho
Saathiyaa..

Palkein jhukao na
Nazrein churao na
Dil toh hai bejubaan, dil ki sunao na
Khamoshi yeh keh rahi hai
Baat hadh se badh rahi hai
saathiyaa..

Yaadon mein tum ho
Khwaabon mein tum ho
Kisson mein tum ho
Baaton mein tum ho
Tanhayee ki raaton mein tum ho
Saanson mein tum ho
Dhadkan mein tum ho

Dil toh hai bejubaan, dil ki sunao na
Baatein jo dil mein hain, hothon pe lao na
Shaam ho ya sehar ho
Dil miin tum har pehar ho
Saathiyaa..





Movie : Sehar
Music : Daniel B George
Singers : Adnan Sami, Alka Yagnik

Labels: , , , ,

Monday, June 09, 2008

Na Sahi

As usual I was playing with remote before going to sleep and stopped at the movie 'Socha Na Tha' on Max. Such a nice movie and I hear that it's based on a true story. Quite possible. You never know when and where love strikes. I remember this movie for the song 'Na Sahi'. What beautiful lyrics drenched with feelings straight from heart.


Ek ped humne pyar ka, milke lagaya tha kabhi
Aate jo phal to thik tha, woh na phale toh na sahi
Kuch na hue to na sahi, na bane to na sahi
Na mile na sahi, kuch na rahe to na sahi

Aye zindagi, har ek raaste se
Humne pukaara tumhe, socha savara tunhe
Par tumko accha na laga, koi wada saccha na laga
Tum roothi ho yeh socha kar, tum ko manayege magar
Ab humse roothi teri yeh nazar
Agar na hase to na sahi, na bane to na sahi
Na mile na sahi, kuch na rahe to na sahi

Tum rasta main ajnabee, lagta tha kyun yeh har ghadi
Aadhe adhure geet ki, ek tum kadi ek main kadi
Tum rasta main ajnabee, lagta tha kyun yeh har ghadi
Tumhe dekh ke lagta tha ye, tum ho bane mere vaaste
Milna hi tha humko magar, hum na mile to na sahi

Har gham har ek aasoon humain apna banana aa gaya
Har haal mein har daur mein humain muskurana aa gaya
Gham hai to bhi rukna nahin jeena hai to jhukna nahin
Yeh zindagi koi khushi ab na bhi de to na sahi




--A song from movie 'Socha Na Tha'

Labels: , ,

Thursday, June 05, 2008

Tum Pukar Lo

Many years ago I had seen this song on television, may be in the program 'Rangoli'. There is something in this song which has haunted some part of my memory since then. I believe this song was used in a serial called 'Talash' in Doordarshan days. It's been years, so there is a high chance I might be wrong:) Enjoy the magic of Hemant Kumar.

Tum pukar lo, tumhara intezaar hai, tum pukar lo
Khwaab chun rahi hai raat beqarar hai
Tumhara intezaar hai, tum pukar lo

Honth pe liye hue dil ki baat hum
Jaagte rahenge aur kitni raat hum
Muqtasar si baat hai tum se pyaar hai
Tumhara intezaar hai, tum pukar lo

Dil bahal to jaayega is khayal se
Haal mil gaya tumhara apne haal se
Raat ye qaraar ki beqarar hai
Tumhara intezaar hai



Movie : Khamoshi
Singer : Hemant Kumar

Labels: , ,

Monday, June 02, 2008

Ishq leta hai kaise imtihan

I am not a regular viewer of daily soap "Dil Mil Gaye". But came across this beautiful song from this serial thanks to the remote. Enjoy!!

Ishq leta hai kaise imtihan
Ishq mein jeena, ishq mein marna
Ishq hi mera bhagwan

Hai rabba, tu hi meri jaan
Tu hi jahaan
Tu hi meri manzil
Tere ishq mein
Main qurban

Ishq mein deewangi ki hadse gujar jaaun
Tere pyar mein aaj main jee kar mar jaaun
Ishq mein jalte hain hum raat din
Yeh mera dil na mane tere bin, tere bin


Labels: ,