Monday, June 23, 2008

Shab Ki Jaage

Raat bhar deed aaye nam naak mein leharate rahe
Saans ki tarah se aap aate rahe jaate rahe

Shab ki jaage hue taaroan ko bhi neend aane lagi hai
Haay! Aap ki aane ki ek aas thi ab jaane lagi

Subhu ne sej se uthate hue lee angdaayee
Aye subah tu bhi jo aayi to akeli aayee

Meri mehaboob mere hosh udane waale
Meri Masajuud meri rooh pe chhane waale

Aabhi jaa take mere sajdon ko armaan nikle
Aabhi ja take tere kadmon pe meri jaan nikle

Shabke jaage hue taaroan ko bhi neend aane lagi hai
Haay! Aap ki aane ki ek aas thi ab jaane lagi

Raat bhar deed aaye nam naak mein leharaate rahe
Saans ki tarahe se aap aate rahe jaathe rahe.

Deed : Sight
Nam Naak : Tearful, Moist
Masajuud : To Whom One Bows, Worships



--A song from movie 'Tamanna'

Labels: , , ,

3 Comments:

Anonymous Anonymous said...

hello
do u have link to this video or song to download. lovely song it is

5:17 AM  
Blogger Bibhuti said...

Ah! YouTube again removed the video:( I have updated the video of male version sung by Kumar Sanu. Personally I like the female version by Alka Yagnik.

8:02 AM  
Anonymous Anonymous said...

there is jagjit singh-asha bhonsale version of it. I feel it is the best !!

8:29 AM  

Post a Comment

<< Home