Wednesday, December 26, 2007

Tujhe dekh kar jag wale par

Tujhe dekh kar jag wale par yakeen nahin kyun kar hoga
Jisaki rachana itani sundar woh kitna sundar hoga
Woh kitana sundar hoga

Tujhe dekhane ko main kya har darpan tarasa karata hai
Jyon tulsi ke biravaa ko har aangan tarasa karata hai
Har aangan tarasa karata hai

Aang aang tera ras ki ganga roop ka woh sagar hoga
Jisaki rachana itani sundar woh kitna sundar hoga
Woh kitana sundar hoga

Raag rang ras ka sangam aadhar tu prem kahani ka
Mere pyase man mein yun utari jyon ret mein jharana pani ka
Jyon ret mein jharana pani ka

Apana roop dikhane ko tere roop mein khud ishwar hoga
Jisaki rachana itani sundar woh kitna sundar hoga
Woh kitana sundar hoga

Singer : Yesudas
Movie : Sawan Ko Aane Do

Labels: , , ,

Tuesday, December 18, 2007

Tu Hi To Meri Zindagi

Finally I got the video of this beautiful song. One of my all time favourite. Somehow this song is not that popular and very few know about it. Google didn't help me finding the lyrics, so I am doing the honour myself. Here goes the lyrics and video. Enjoy.

Tu hi to meri zindagi
Tu hi to meri bandagi

Kaise batau tujhko, tuhi mera pyar hai
Tera intezar hai, tuhi mera pyar hai

Raat din tu hi rahti hai
khwab mein mere khayalon mein

Teri zism ki yeh kaisi hawa
Phaile ruh mein kaisa yeh nasha
Bas tujhse pyar hai Kehti hai juwan

Tu hi to meri zindagi
Tu hi to meri bandagi

Kaise batau tujhko, tuhi mera pyar hai
Tera intezar hai, tuhi mera pyar hai

Bas tera tera intezar hai
Pyar ka kaisa khumar hai

Bahon mein rahun tujhko chumloon
Julfo mein teri aise jhoomlun
Nazro ka teri yeh kaisa jadoo




Album : Tu Hi Meri Zindagi
Singer : Roopkumar Rathod and Kavitha Krishnamoorthy
Music Director : Siddharth Kashyap

Labels: , , , ,

Monday, December 17, 2007

Kaun Kiska Hua Hai Yahan

Kaun Kiska hua hai..yahannnnn
Hai Kaun kiska hua hai..yahannnnn..yahannnnnn

Lekar mujhko rasta yeh chala
chhoota pichhe mera aasman
In rahon mein phir tu mil gayaa
kehna kuch to tha kehna, na kuch kaha
Jana tujhko tha jana, tu bhi gaya
Wahan jahan tera jahan

Hai Kaun kiska hua hai..yahannnnn..yahannnnnn



Singer : Vasundhara Das
Movie : Bheja Fry

Labels: , , ,

Friday, December 14, 2007

Kahan Se Aye Badra

Kahan se aye badara
Ghulata jaye kajara
Kahan se aye badara
Ghulata jaye kajara

Palakon ke satarange deepak
Ban baithe aansu ki jhalar
Moti kaa anamolak heera
Mitti mein jaa Phisala
Kahan se ayee badara

Neend piya ke sang sidhari
Sapanon ki sukhi phulawari
Amrit hothon tak aate hi
Jaise vish mein badala
Kahan se aye badara

Utare megh yaa phir chhaye
Nirday jhonke agana badhaye
Barase hain ab tose sawan
Roe man hai pagala
Kahan se aye badara





Movie : Chashme Buddoor (1981)
Singer: Haimanti Shukla, Yesudas KJ
Music : Rajkamal
Lyrics: Indu Jain

Labels: , ,

Wednesday, December 05, 2007

Kis liye maine pyar kiya

Kis liye maine pyar kiya
Dil ko yoon hi beqarar kiya
Shaam savere teri raah dekhi
Raat din intezaar kiya

Aankhon mein maine kajal daala Maathe pe bindiya lagayi
Aise mein tu aa jaaye to kya ho raam duhai
Chupke mann mein armaanon ne li aisi angdai
Koi dekhe to kya samjhe ho jaaye rusvaai
Maine kyun singaar kiya

Aaj woh din hai jiske liye main tadapi banke radha
Aaj mere mann ki bechaini badh gayi aur zyaada
Pyar mein dhoka na kha jaaye yeh mann seedha saada
Aisa na ho jhootha nikle aaj milan ka vaada
Maine kyun aeitbaar kiya
Dil ko yoon hi beqarar kiya
Shaam savere teri raah dekhi
Raat din intezaar kiya
Kis liye main pyar kiya





Movie : The Train
Singer: Lata Mangeshkar

Labels: , , ,

Sunday, December 02, 2007

Triveni by Gulzar

Kuch is tarah khayal tera jal utha ki bas,
Jaise diya-salai jale ho andhere mein.

Ab phoonk bhi do, warna yeh unglee jalaega.


Teri soorat jo bhari rehti hai aankhon mein sada
Ajnabi log bhi pehchane se lagte hain mujhe

Tere rishte mein to duniya hi pirolee maine

Labels: ,