Tuesday, March 31, 2009

Meer

Woh aaye bazm mein, itna to "meer" ne dekha
Phir usske baad, chiragon mein roshani na rahi

Wow!! What beautiful and powerful lines.

~Meer Taqi Meer

Labels: , , ,

Tuesday, March 24, 2009

Zindagi

Jo tujh ko samjah lun zindagi
To khuda na ban jaaun main ?

--Bibhuti

Labels:

Monday, March 23, 2009

Khwab

Khwab tha shayad, toot gaya
Zindagi itni meherbaan kahan

Kaash! Neend thodi aur gehri hoti..

-Bibhuti

Labels: , ,

Sunday, March 22, 2009

Aap se jo wafa ho gayi

Aap se jo wafa ho gayi
Zindagi khusnuma ha gayi

Aap ne aise dekha humain
Khubsoorat khata ho gayi
Zindagi khusnuma ha gayi

Aap se jo wafa ho gayi
Zindagi khusnuma ha gayi

Hum gaye dil gaya jaan gayi
Aap ki to aada ho gayi

Aapse jo wafa ho gayi
Zindagi khusnuma ha gayi

Saakiya jaam la jaam la
Zulf uski ghata ho gayi
Zindagi khusnuma ha gayi

Aap se jo wafa ho gayi
Zindagi khusnuma ha gayi
Aap se jo wafa ho gayi
Zindagi khusnuma ha gayi



Album : Khusnuma
Singer : Talat Aziz

Labels: ,

Monday, March 16, 2009

Tohfa

Ek tohfa dhundne chala tha tumhare liye..

Mahtaab-e-noor se roshani maangi to khabar hua
Chandni aasli to aur kahin hai..

Sard-e-aaftab se garmahat maangi to khabar hua
Meethi dhoop aasli to aur kahin hai..

Nasiim-e-sahar se taraawat maangi to khabar hua
Sukoon aasli to aur kahin kahin hai..

Khuda se koi naa-yaab tohfa maangi to khabar hua
Woh to tum ho, bas tum hi..

Main tumhare liye kya tohfa laaun ?

Sard-e-aaftab : Winter Sun
Mahtaab-e-noor : Bright Moonlight
Nasiim-e-sahar : Morning breeze
Taraawat : Coolness

--Bibhuti

Labels: , ,

Sunday, March 15, 2009

Gulaal - The Masterpiece

There are very few movies which can compel me to write about them. I happened to watch Gulaal yesterday and was completely blown away. It is complex, powerful, humorous, courageous, engaging, fascinating and whatever other adjectives you can think of. I felt like watching poetry on screen. Music and lyrics are awesome and acting is superb by almost all characters. Piyush Mishra as the eccentric poet Prithvi Bana, Kay Kay Menon as the rebel Dukey Bana and Abhimanyu Singh as Rananjay Singh deserve special mention. I wonder how this kind of cinema doesn't go to Oscar. Anyway we should be thankful to director like Anurag Kashyap who dares to make movies like Black Friday and Gulaal.

Labels: , , ,

Friday, March 13, 2009

Koi Nahin Hai

There are few songs which remind me of my hostel days in Hall 2, REC Rourkela. We used to have very limited channels coming and luckily MTV was one of them. I used to spend a lot of time in common room watching the songs. I can remember two songs "Tu Hi To Meri Zindagi" and "Koi Nahin Hai" for which I used to find reasons to go to common room and wait for them. I think that's enough to give the message how much I like it. I didn't find the lyrics on google so doing the honour myself. Enjoy this beautiful and soothing romantic song.

Koi nahin hai phir bhi awaaz aa rahi hai
Shayad meri mohabbat shayad meri mohabbat
Mujhko bula rahi hai

Mere labon ko uske andaaz mil rahe hain
Mere labon ko uske andaaz mil rahe hain
Uske sooron ko mere alfaz mil rahe hain

Main geet likh raha hun woh geet ga rahi hai
Main geet likh raha hun woh geet ga rahi hai
Shayad meri mohabbat shayad meri mohabbat
Mujhko bula rahi hai

Yeh meri zindagi ki sabse hasin ghadi hai
Yeh meri zindagi ki sabse hasin ghadi hai
Nazron ke samne woh chhup kar kahin khadi hai

Na paas aa rahi hai na duur jaa rahi hai
Na paas aa rahi hai na duur jaa rahi hai
Shayad meri mohabbat shayad meri mohabbat
Mujhko bula rahi hai

Bas ek jhalak dikha ke pagal bana diya hai
Bas ek jhalak dikha ke pagal bana diya hai
Badal ko usne apna kajal bana diya hai

Phoolon se ab woh apni zulfe saja rahi hai
Phoolon se ab woh apni zulfe saja rahi hai
Shayad meri mohabbat shayad meri mohabbat
Mujhko bula rahi hai

Koi nahin hai phir bhi awaaz aa rahi hai
Shayad meri mohabbat shayad meri mohabbat
Mujhko bula rahi hai
Mujhko bula rahi hai
Mujhko bula rahi hai





Album : Khubsoorat
Singer : Talat Aziz

Labels: , , ,

Sunday, March 01, 2009

Aarti - Tumhre Bhavan Mein

A friend of mine always says that I like all Bhajan or Prayer type songs. Probably he is right to an extent. I like all sort of songs and this category is one of them. So this is no surprise that I loved 'Aarti - Tumhre Bhavan Mein' instantly. It's so pure, pious, serene, soothing and mesmerizing. I feel like praying..

Tumhre bhavan mein jyot jaage
Jyot jaage mere paap bhage
Aanand mangal ho…
Mere ambaa
Brahmaji ved japaa hai tere dwaare maiya
Brahmaji mere ambaa
Hey maataa dwaare jawa
Brahmaji ved japaa hai tere dwaare
Shankar dhyaan lagaye maiyaa ke dwaare
Shankar dhyaan lagaye maiyaa ke dwaare
Shankar dhyaan lagaye… ambaa
Tumhre bhavan maataa jyot jaage
Jyot jaage mere paap bhage
Aanand mangal ho… meri ambaa
Naarad nirat kare tere dwaare maayaa
Naarad hey mere ambaa naarad dwaare jawa
Naarad nirat kare tere dwaare
Kanud been bajaave maiyaa ke dwaare
Kanud been bajaave mere maa ke dwaare
Kanud been bajaave… ambaa




Movie : Delhi 6
Music : A R Rahman
Lyrics : Prasoon Joshi
Singer : Rekha Bharadwaj, kishori, Ashok Gowariker, Sujata Majumdar, Shrradha Pandit

Labels: , , , ,