Monday, March 16, 2009

Tohfa

Ek tohfa dhundne chala tha tumhare liye..

Mahtaab-e-noor se roshani maangi to khabar hua
Chandni aasli to aur kahin hai..

Sard-e-aaftab se garmahat maangi to khabar hua
Meethi dhoop aasli to aur kahin hai..

Nasiim-e-sahar se taraawat maangi to khabar hua
Sukoon aasli to aur kahin kahin hai..

Khuda se koi naa-yaab tohfa maangi to khabar hua
Woh to tum ho, bas tum hi..

Main tumhare liye kya tohfa laaun ?

Sard-e-aaftab : Winter Sun
Mahtaab-e-noor : Bright Moonlight
Nasiim-e-sahar : Morning breeze
Taraawat : Coolness

--Bibhuti

Labels: , ,

0 Comments:

Post a Comment

<< Home