Saturday, June 28, 2008

Ranjish Hi Sahi

Ranjish hi sahi dil hi dukhane ke liye aa
Aa phir se mujhe chhod ke jaane ke liye aa

Pehle se marasim na sahi phir bhi kabhi to
Rasm-o-rah-e-duniya hi nibhane ke liye aa

Ab tak dil-e-khushfeham ko tujh se hain umeedain
Ye aakhri shamein bhi bujhane ke liye aa

Kis kis ko batayenge judai ka sabab hum
Tu mujhse khafa hai to zamane ke liye aa

Ek umr se hoon lazzat-e-girya se bhi mehroom
Aye raahat-e-jaan mujhko rulaane ke liye aa

Kuchh to mere pindar-e-mohabbat ka bharam rakh
Tu bhi to kabhi mujhko manaane ke liye aa

Maana ke mohabbat ka chhupana hai mohabbat
Chupke se kisi roz jataane ke liye aa

Jaise tumhein aate hain na aane ke bahaane
Aise hi kisi roz na jaane ke liye aa

Giriya - Weeping, Crying
Bharam - Consideration, Regard
Pindaar - Arrogance, Ego, Pride, Self-esteem
Marasim - Agreement, Relationship
Ranjish - Anguish, Distress, Enmity

Poet: Ahmed Faraz

Labels: ,

0 Comments:

Post a Comment

<< Home