Wednesday, June 25, 2008

Yeh Kahan Aa Gaye Hum

Main aur meri tanhayee aksar yeh baatein karte hain
Tum hoti to kaisa hota, tum yeh kehti, tum woh kehti
Tum is baat pe hairaan hoti, tum us baat pe kitni hansti
Tum hoti to aisa hota, tum hoti to waisa hota
Main aur meri tanhaai aksar yeh baatein karte hain

Yeh kahan aa gaye hum
Yunhi saath saath chalte
Teri baahon mein hai jaanam
Mere jism-o-jaan pighalte
Yeh kahan aa gaye hum
Yunhi saath saath chalte

Yeh raat hai, ya tumhaari zulfein khuli hui hain
Hai chaandni ya tumhaari nazrein se meri raatein dhuli hui hain
Yeh chaand hai ya tumhaara kangan
Sitaarein hai ya tumhaara aanchal
Hawa ka jhonka hai ya tumhaare badan ki khushboo
Yeh pattiyon ki hai sarsaraahat ke tumne chupke se kuch kaha hai
Yeh sochta hoon main kab se gumsum
Ke jab ki mujhko bhi yeh khabar hai
Ke tum nahin ho, kahin nahin ho
Magar yeh dil hai ke keh raha hai
Ke tum yahin ho, yahin kahin ho

O, tu badan hai main hoon chhaaya
Tu na ho to main kahan hoon
Mujhe pyaar karne waale
Tu jahan hai main wahan hoon
Hamein milna hi tha hamdam
Issi raah bhi nikalte
Yeh kahan aa gaye hum
Yunhi saath saath chalte

Mmm, meri saans saans maheke
Koi bheena bheena chandan
Tera pyaar chaandni hai
Mera dil hai jaise aangan
Hui aur bhi mulaayam
Meri shaam dhalte dhalte
Yeh kahan aa gaye hum
Yunhi saath saath chalte


Majboor yeh haalaat, idhar bhi hai udhar bhi
Tanhayee ki ek raat, idhar bhi hai udhar bhi
Kehne ko bahut kuch hai, magar kisse kahe hum
Kab tak yunhi khaamosh rahe aur sahe hum
Dil kehta hai duniya ki har ek rasm utha de
Deewaar jo hum dono mein hai, aaj gira de
Kyoon dil mein sulagte rahe, logon ko bata de
Haan humko mohabbat hai, mohabbat hai, mohabbat
Ab dil mein yehi baat, idhar bhi hai udhar bhi

Yeh kahan aa gaye hum
Yunhi saath saath chalte
Yeh kahan aa gaye hum




--A song from movie 'Silsila'

Labels: , , , ,

0 Comments:

Post a Comment

<< Home