Saturday, May 09, 2009

Phir Dekhiye

Aankhon mein jis ke koi to khwaab hai
Khush hai wahin jo thoda betaab hai
Zindagi mein koi arzooo kijiye
Phir dekhiye...

Hothon pe jis ke koi to geet hai
Woh haare bhi to us ki hi jeet hai
Dil mein jo geet hai gun guna lijiye
Phir dekhiye...

Yaadon mein jis ke kisi ka naam hai
Sapno ke jaise us ki har shaam hai
Koi to ho jise apna dil dijiye
Phir dekhiye...

Khwab buun yeh zara geet sun yeh zara
Phool chun yeh zara
Phir dekhiye...





Movie : Rock On
Music : Shankar Ehsan Loy
Singer : Caralisa Monteiro
Lyricis : Javed Akhtar

Labels: , ,

Thursday, October 09, 2008

Yeh Tumhari Meri Baatein

A very different kind of romantic song and is a difficult one too. The song completely belongs to the singer Dominique Cerejo who has sung it just beautifully.

Yeh tumhari meri baatein, hamesha yuhin chalti rahe
Yeh hamari mulakate, hamesha yuhin chalti rahe
Beete yuhin apne saare din raat
Baaton se nikalti rahe nayi baat
Phir wohi baatein leke geet koi hum likhe
Jo dil ko haan sab ke dil ko chu le
Baatein suron mein yuhin pighalti rahen
Baatein geeton mein yuhin dhalti rahen

Geeton mein haan humko khusiyon se hum saja de
Jo sune gaaye woh hum se gaaoon na

Yeh tumhari meri baatein, hamesha yuhin chalti rahe
Yeh hamari mulakate, hamesha yuhin chalti rahe
Beete yuhin apne saare din raat
Baaton se nikalti rahe nayi baat
Phir wahin baatein leke geet koi hum likhe
Jo dil ko haan sab ke dil ko chu le
Baatein suron mein yuhin pighalti rahen
Baahein geeton mein yuhin dhalti rahen





Movie : Rock On
Music : Shankar Ehsaan Loy
Singer : Dominique Cerejo
Lyrics : Javed Akhtar

Labels: , , ,

Saturday, September 06, 2008

Tum Ho To

Beauty lies in simplicity. No heavy and complex words used but yet so meaningful lyrics. A soft, soothing romantic number from the movie 'Rock On'.

Tum ho to gaata hai dil
Tum nahin to geet kahan
Tum ho to hai sab haasil
Tum nahin to kya hai yahan
Tum ho to hai sapno ke jaisa haseen ek sama
Jo tum ho to yeh lagta hai ke mil gayi har khushi
Jo tum na ho yeh lagta hai ke har khushi mein hai kami
Tumko hai maangti yeh zindagi…..

Hoo ho hoo ho hooo…..
Hoo ho hoo ho hooo…..
Hoo ho hoo ho hooo…..

Tum ho to raahein bhi hain
Tum nahin to raste kahaan
Tum ho to yahaan sabhi hain
Tum nahin to kaun yahaan
Tum ho to hai har ek pal meharbaan ye jahaan…..

Jo tum ho hawaa mein bhi mohabbaton ka rang hai
Jo tum na ho to phir koi na josh na umang hai
Tum mile to mili yeh zindagi…..

Hoo ho hoo ho hooo…..
Hoo ho hoo ho hooo…..





Movie : Rock On
Lyrics : Javed Akhtar
Singer : Farhan Akhtar
Music : Shankar, Ehsaan, Loy

Labels: , , ,

Wednesday, June 25, 2008

Yeh Kahan Aa Gaye Hum

Main aur meri tanhayee aksar yeh baatein karte hain
Tum hoti to kaisa hota, tum yeh kehti, tum woh kehti
Tum is baat pe hairaan hoti, tum us baat pe kitni hansti
Tum hoti to aisa hota, tum hoti to waisa hota
Main aur meri tanhaai aksar yeh baatein karte hain

Yeh kahan aa gaye hum
Yunhi saath saath chalte
Teri baahon mein hai jaanam
Mere jism-o-jaan pighalte
Yeh kahan aa gaye hum
Yunhi saath saath chalte

Yeh raat hai, ya tumhaari zulfein khuli hui hain
Hai chaandni ya tumhaari nazrein se meri raatein dhuli hui hain
Yeh chaand hai ya tumhaara kangan
Sitaarein hai ya tumhaara aanchal
Hawa ka jhonka hai ya tumhaare badan ki khushboo
Yeh pattiyon ki hai sarsaraahat ke tumne chupke se kuch kaha hai
Yeh sochta hoon main kab se gumsum
Ke jab ki mujhko bhi yeh khabar hai
Ke tum nahin ho, kahin nahin ho
Magar yeh dil hai ke keh raha hai
Ke tum yahin ho, yahin kahin ho

O, tu badan hai main hoon chhaaya
Tu na ho to main kahan hoon
Mujhe pyaar karne waale
Tu jahan hai main wahan hoon
Hamein milna hi tha hamdam
Issi raah bhi nikalte
Yeh kahan aa gaye hum
Yunhi saath saath chalte

Mmm, meri saans saans maheke
Koi bheena bheena chandan
Tera pyaar chaandni hai
Mera dil hai jaise aangan
Hui aur bhi mulaayam
Meri shaam dhalte dhalte
Yeh kahan aa gaye hum
Yunhi saath saath chalte


Majboor yeh haalaat, idhar bhi hai udhar bhi
Tanhayee ki ek raat, idhar bhi hai udhar bhi
Kehne ko bahut kuch hai, magar kisse kahe hum
Kab tak yunhi khaamosh rahe aur sahe hum
Dil kehta hai duniya ki har ek rasm utha de
Deewaar jo hum dono mein hai, aaj gira de
Kyoon dil mein sulagte rahe, logon ko bata de
Haan humko mohabbat hai, mohabbat hai, mohabbat
Ab dil mein yehi baat, idhar bhi hai udhar bhi

Yeh kahan aa gaye hum
Yunhi saath saath chalte
Yeh kahan aa gaye hum




--A song from movie 'Silsila'

Labels: , , , ,