Ek Lau Is Tarah Kyun
Gardishon mein rehti, behti guzarti
Zindagiyan hai kitni
In mein se ek hai, teri meri agni
Koi ek jaisi apni
Par khuda khair kar,
Aisa anjaam kisi rooh ko na de kabhi yahaan
Goonchha muskurata ek, Waqt se pehle
Kyun chhod chala tera yeh jahaan
Ek lau is tarah kyon bujhi mere maula
Ek lau zindagi ki maula
Dhoop ke ujaale se, aus ke pyaale se
Khushiyaan mile humko
Zyada maanga hai kahaan, sarhadein na ho jahan
Duniya mile humko
Par khuda khair kar,
Uske armaan mein kyun bewajah ho koi qurbaan
Goonchha muskurata ek, Waqt se pehle
Kyun chhod chala tera ye jahan
Ek lau is tarah kyon bujhi mere maula
Ek lau zindagi ki maula
Movie : Aamir
Music : Amit Trivedi
Lyrics: Amitabh Varma
Singer: Shilpa Rao, Amitabh