Tuesday, January 13, 2009

Kisi Nazar Ko Tera Intezaar

Kisi nazar ko teraa, intezaar aaj bhi hai
Kahan ho tum ke yeh dil bekaraar aaj bhi hai

Woh wadiyaan, woh fizaayen ke hum mile the jahaan
Meri wafaa kaa wahi par mazaar aaj bhi hai

Na jaane dekh ke kyun unko yeh hua ehasaas
Ke mere dil pe unhe ikhtiyaar aaj bhi hai

Woh pyaar jis ke liye humne chhod di duniyaa
Wafaa ki raah mein ghaayal woh pyaar aaj bhi hai

Yakin nahin hain magar aaj bhi yeh lagtaa hai
Meri talaash mein shayad bahaar aaj bhi hai

Na pooch kitne mohabbat ke zakhm khaayi hain
Ke jinko soch ke dil sau gawar aaj bhi hai

Zindagi kya koi nisaar kare
Kis se duniya mein koi pyaar kare
Apnaa saayaa bhi apnaa dushman hai
Kaun ab kiska aitbaar kare… aitbaar kare…





Movie : Aitbaar
Lyrics : Hasan Kamal
Music : Bappi Lahiri
Singer : Asha Bhonsle, Bhupinder Singh

Labels: , , , ,

0 Comments:

Post a Comment

<< Home