Friday, November 14, 2008

Caarvaan

Raat simti jaayegi aur chaand behata jaayega
Bas raat ke hum musaafir hai yahaan
Khwaab badhate jaayenge aur ummr ghatati jaayegi
Har lamha tootta hai aasmaan
Leke chala jaane kahaan
Yeh ajanabi..
Caarvaan caarvaan caarvaan caarvaan caarvaan caarvaan
Raat simti jaayegi aur chaand behata jaayega
Bas raat ke hum musaafir hai yahaan
Leke chala jaane kahaan
Yeh ajanabi..
Caarvaan caarvaan caarvaan caarvaan caarvaan caarvaan

Kaisi khushi hai, kaisa yeh ghum hai
Kaisi saja hai, kyun mili hai zindagi...
Par toh lage hai, udate nahi hai
Jab kuchh nahi hai, kyun saji hai roshani...
Shola jaga diya lekar hawa
Aisa jahaan tera abb bataade tu bataade aye khuda
Caarvaan caarvaan caarvaan caarvaan caarvaan caarvaan

Kiska gagan hai, kiski zameen hai
Kisko pata hai kyun lagi hai aag si...
Rehana yahin hai, chalana yahin hai
Thoda safar hai, kyun magar hai bebasi...
Sabko kahaan mila dil ka silaa
Aisa jahaan tera abb mitaade tu jalaade aye khuda
Raat simti jaayegi aur chaand behata jaayega
Bas raat ke hum musaafir hai yahaan
Leke chala jaane kahaan..
Yeh ajanabi caarvaan caarvaan caarvaan
Caarvaan caarvaan caarvaan caarvaan caarvaan caarvaan





Movie : Hello
Music : Sajid-Wajid
Lyrics : Jalees Sherwani
Singer : Shafaqat Amanat Ali Khan

Labels: , ,

0 Comments:

Post a Comment

<< Home