Tuesday, January 13, 2009

Dil Jalaane Ki Baat Karate Ho

Dil jalaane ki baat karate ho
Aashiyaane ki baat karate ho

Saarii duniyaa ke ranj-o-gham de kar
Muskuraane ki baat karate ho

Hum ko apani khabar nahin yaaron
Tum zamaane ki baat karate ho

Zikr mera suna to chid ke kaha
Kis deewane ki baat karate ho

Hadsaa tha guzar gaya hoga
Kiske jaane ki baat karate ho

Poet: Javed Qureshi

Labels: , ,

0 Comments:

Post a Comment

<< Home