Wednesday, January 14, 2009

Humain Itna Pyar Na Karo

Even before the Pakistani band 'Jal' was launched in India, I accidentally listened to them while surfing randomly about Pak pop music (Check the site pakipop for more). Since then I have made many of my friends listen to them and I was not at all surprised when they were an instant hit in India. This is a soothing number from the album 'Boond'. Enjoy!!

Humain itna pyar na karo ke hum mar jaaye
Humain itna tanha na karo ke jee na paaye

Koi dil ka qaraar jaane na
Koi mann ki yeh baat bataye na
Koi aankhon hi aankhon mein keh de yeh baat
Chal chale uss paar jahaan koi na ho
Sab khushiyaan ho paas sitam na ho
Aur sitaaron se karte rahein hum baat
Kya yahi hai khata pyar maine kiya
Ab yun na sataaon o mere piya
Tu hi mera dildar tu dil ka qaraar
Nahi iss baat se mujhe koi inkaar
Kabhi kabhi tum yaad aate ho
To dil bhar aaye
Yeh kaisa hai khumar
Jo kam na ho aur badhta jaaye

Dekha hai har mausam teri aankhon mein
Beeta hai har lamha teri saanson mein
Yeh saansein to teri amaanat hai
Kuchh ajab hai yeh haal mere seene mein
Haan bas sur hai aur taal mere jeevan mein
Bass isi jeevan se hai mujhe thoda pyar
Teri aahat hai sarsarahat hai
Kuchh aur sahi yeh chahat hai
Nainon se nainon ko takke dil
Tumhain aankhein churane ki aadat hain

Humain itna pyar na karo ke hum mar jaaye
Humain itna tanha na karo ke jee na paaye
Humain itna pyar na karo ke hum mar jaaye





Album : 'Boondh' by Jal

Labels: , ,

0 Comments:

Post a Comment

<< Home