Friday, August 29, 2008

Boondein

Darakhton se sikha tha ashk-e-ravaan chhupana
Hawa ki tarah jo tum saamne aye
Aankhon ke patte boondein barsane lage

--Bibhuti

Labels: ,

Thursday, August 28, 2008

Yeh Dil Sun Raha Hai

Yeh dil sun raha hai tere dil ki zubaan
Yeh dil sun raha hai tere dil ki zubaan
Aye mere humnashin main wahan tu jahan
Yeh dil sun raha hai tere dil ki zubaan

Meri sada mein bole tu ye koi kya jaane
Meri sada mein bole tu ye koi kya jaane
Geet mein hai saaz mein hai tu hi tu naghma kahan
Yeh dil sun raha hai tere dil ki zubaan
Yeh dil sun raha hai tere dil ki zubaan
Aye mere humsafar main wahan tu jahan
Yeh dil sun raha hai mere dil ki zubaan

Dard-e-mohabbat ke siva main bhi kya tu bhi kya
Dard-e-mohabbat ke siva main bhi kya tu bhi kya
Yeh zameen hum aasmaan hum ab humain jaana kahan

Jaana kahan
Ab humain
Jaana kahan
Jaana kahan





Movie : Khamoshi
Music : Jatin Lalit
Singer: Kavita Krishnamoorthy

Labels: , , ,

Tuesday, August 26, 2008

Doob Jana Re

Aaj maine dil se badalon se mil ke
Sapno ki barish se kaliyaan saja ke
Mehki umango se khusboo churake

Halki se boodoon mein
Lehron ki gunjon mein
Gum ho jana re

Doob jana re
Mujhko doob jana re
Tere paas aana re
Mujhko doob jana re

Chalte chalte maine yuhin
Jane mere dil se aisa kya keh diya

Kyun yeh mausam bhi hai lagta ab suhana re
Dhadkane bhi saath mere gungunati re

Khamosh aahon ke simte irade
Masoom palkon pe sapne saja ke

Halki si boodon mein
Lehro ki gunjon mein
Gum ho jana re

Doob jana re
Mujhko doob jana re
Tere paas aana re
Mujhko doob jana re

Badlon se dil ka rista hai purana re
Hai safar anjan lekin aajmana re

Maine na socha na samjha na chaha
Rukte Kadam phir bhi aise kyun chahe

Halki si boodon mein
Lehro ki gunjon mein
Gum ho jana re

Doob jana re
Mujhko doob jana re
Tere paas aana re
Mujhko doob jana re

Aaj maine dil se badalon se mil ke
Sapno ki barish se kaliyaan saja ke
Mehki umango se khusboo churake

Halki se boodoon mein
Lehron ki gunjo mein
Gum ho jana re

Doob jana re
Mujhko doob jana re
Tere paas aana re
Mujhko doob jana re





Movie : Main Meri Patni Aur Woh
Singer : Shreya Ghoshal, Sonu Nigam
Music : Rajendra Shiv
Lyrics : Rocky Khanna

Labels: , , ,

Monday, August 25, 2008

First Anniversary of Adoholik

Today is technically the first anniversary of my other blog Adoholik. Though the first post was created a year ago, I was into it seriously about 2-3 months later. Nevertheless, the start is always important and the journey so far is not bad at all. Adoholik to me is beyond traffic and statistics. Still here is a reality check so far.

Visits

Pages

Files

Hits

124387

365155

2317124

2637290








Source : webalizer

Labels:

Sunday, August 24, 2008

Aatish Kapadia "A Genius"

I don't label people Genius easily. I am going to add one more name 'Aatish Kapadia' to my following list of people whom I admire.

  • Sachin Tendulkar
  • Shane Warne
  • Gulzar
  • Kishore Kumar
  • A R Rahman
  • Hrishikesh Mukherjee

Aatish Kapadia is many things in a single entity; A writer,director,actor,lyricist and producer. And on top of that he is completely mad. The writer of Khichdi, Instant Khichdi and Sarabhai Vs Sarabhai has to be mad. But I love his madness. The humor he creates is absolutely original and unique. The characters are real and child at heart. There are few critics who dismiss Khichdi saying the jokes are too literal, but I dismiss them. To able to think out of box, to create the unthinkable situations, to create the humor with childish innocence and to able to laugh at oneself require extraordinary talent, courage and conviction.

I can see shades of myself in his characters. Thanks Aatish for the unadulterated joy and showing me the mirror.

Labels: , ,

Friday, August 22, 2008

Tum Hi Tum Ho Meri Nigahon Mein


"Yaad rakhne ke liye lakh koshis karlo kuch yaad nahin rehta. Aur kabhi kabhi aisa bhi hota hai ki bhulane ko bhi chaho to har ek lafz yaad rehta hai."

I had the hazy memory of this song from 90s and it kept coming back to my lips without me trying to remember. I bet not many would have heard this melodious number from an unknown movie 'Juaari'. But I can assure that you won't listen it just once.

Tum hi tum ho meri nigahon mein
Tumko maanga hai duaon mein
Dil se aati hai saada, tum hi ho pyar mera
Rab ne bheja hai tumhe, duniya mein mere liye

Tere hothon ke kamal mujhse kehte hain yehi
Meri sason mein teri, pyar ki khusboo basi
Teri nazron se kai jaam maine piye

Tum hi tum ho meri nigahon mein
Tumko maanga hai duaon mein
Dil se aati hai saada, tum hi ho pyar mera
Rab ne bheja hai tumhe, duniya mein mere liye

Meri palkon pe saje, chahat ke sapne
Ban jaun main jo teri, tum ho mere apne,
saath choote na kabhi, chahe kuch pal hi jiye

Tum hi tum ho meri nigahon mein
Tumko maanga hai duaon mein
Dil se aati hai saada, tum hi ho pyar mera
Rab ne bheja hai tumhe, duniya mein mere liye



Movie : Juaari
Lyrics : Anwar Sagar
Music : Bappi Lahiri
Singers: Abhijeet, Sadhana Sargam

Labels: , , ,

Tuesday, August 19, 2008

Intezaar by Gurus Trilogy

There are few songs which you don't listen but feel. A story is created out of nowhere, you start to see things, you tend to experience unknown emotion, you make a journey to a different world. Probably it's only me and not anyone else. Here is one such beautiful song from the album 'Aghaaz' by the Pakistani band Gurus Trilogy.

Lamhon mein yun intezaar ke
Janeman kyun bekarar hai

Lamhon mein yun intezaar ke
Aa bhi jaa aa bhi jaa

Ek ek pal gin gin guzar ke
In lamhon ke intezaar mein

Kyun nikle dil se pookar yeh
Aa bhi jaa aa bhi jaa
Aa bhi jaa aa bhi jaa

Jaane kaisi aahat si dil mein hui
Jaane kaisi chahat si dil mein uthi

Jaane kyun jaane kyun jaane kyun
Aa bhi jaa aa bhi jaa
Aa bhi jaa aa bhi jaa

Lamhon mein yun intezaar ke
Janeman kyun bekarar hai

Lamhon mein yun intezaar ke
Aa bhi jaa aa bhi jaa
Aa bhi jaa aa bhi jaa

Dil bhi bechain raatein bhi veeran hain
Bin tere yeh shamein bhi hairaan hain

Jaane kyun jaane kyun jaane kyun
Aa bhi jaa aa bhi jaa
Aa bhi jaa aa bhi jaa

Ek ek pal gin gin guzar ke
In lamhon ke intezaar mein

Kyun nikle dil se yeh pookar yeh
Aa bhi ja aa bhi jaa
Aa bhi ja aa bhi jaa

Sajna be aaja sajna be aa bhi jaa
Sajna be aaja sajna be aa bhi jaa
Sajna be aaja sajna be aa bhi jaa
Sajna be aaja sajna be aa bhi jaa


Labels: , , , ,

Monday, August 18, 2008

Guncha Koi Mere Naam

Guncha koi mere naam kar diya
Guncha koi mere naam kar diya
Saki ne phir se mera jaam bhar diya
Saki ne phir se mera jaam bhar diya
Guncha koi……

Tum jaisa koi nahin is jahan mein
Tum jaisa koi nahin is jahan mein
Subah ko teri zulf ne shaam kar diya
Subah ko teri zulf ne shaam kar diya
Saki ne phir se mera jaam bhar diya
Guncha koi……

Mehfil mein baar baar idhar dekha kiye
Mehfil mein baar baar idhar dekha kiye
Aankhon ke zazeeron ko mere naam kar diya
Aankhon ke zazeeron ko mere naam kar diya
Saki ne phir se mera jaam bhar diya
Guncha koi……

Hosh bekhabar se huye unke bagair
Hosh bekhabar se huye unke bagair
Hosh bekhabar se huye unke bagair
Woh jo humse keh na sake dil ne keh diya
Woh jo humse keh na sake dil ne keh diya

Saki ne phir se mera jaam bhar diya
Guncha koi……

Guncha koi mere naam kar diya
Saki ne phir se mera jaam bhar diya





Movie : Main Meri Patni Aur Woh
Lyrics: Rocky Khanna
Singer: Mohit Chauhan
Music : Mohit Chauhan

Labels: , , ,

Sunday, August 17, 2008

Music Sustains Me

Mad. Crazy. Insane. That's me about Music. Be it happiness or sorrow, I celebrate or mourn with music. It helps me experience different emotions which I might not do in real life. I go to an infinite loop of listening once I like any song. I get stuck in the net of those beautiful words for long time. And the black magic breaks only by another infinite loop.

Music sustains me. Period.

My current obsession is the album 'Aghaaz' by the Pakistani band 'Gurus Trilogy'. I came across this band around two years back and they fall into Fusion genre. The songs 'Shaam' and 'Intezaar' are awesome.

"Shaam ho rahi hai tum yaad aa rahe ho
Sari woh baatein leke ab kyun aa gaye ho

Tumne yeh kaha tha ke na tum aaoge
"

Very simple but meaningful lyrics. Given that almost all possible combination and permutation of love thoughts are already written, these simple lines and great composition makes the song 'Shaam' special.

Shaam

Tere bin yeh dil soona hai kyun

Shaam ho rahi hai tum yaad aa rahe ho
Sari woh baatein leke ab kyun aa gaye ho

Tumne yeh kaha tha ke na tum aaoge

Tere bin yeh dil soona hai kyun
Tere bin yeh dil soona hai kyun

Janoona yeh naina roye kyun roye kyun

Tadpaya hai kyun aur roli yun
Bole jo agar tu jane dun

Shaam ho rahi hai tum yaad aa rahe ho
Sari woh baatein leke ab kyun aa gaye ho

Tumne yeh kaha tha ke na tum aaoge

Shaam ho rahi hai tum yaad aa rahe ho

Labels: , , , ,

Friday, August 15, 2008

Sanaa

Sare alfaaz loota bhi dun tum pe to,
Kahan kharid paaunga tariif tumhari

Kaash tumhe bhi aati nazron ki zabaan

--Bibhuti

Labels: ,

Wednesday, August 13, 2008

Bavra Mann Dekhne Chala Ek Sapna

Bavra mann dekhne chala ek sapna
Bavra mann dekhne chala ek sapna


Bavre se mann, ki dekho bavri hain baatein
Bavre se mann, ki dekho bavri hain baatein
Bavri se dhadkaane hain, bavri hain saansen
Bavri si karwaton se, nindiya door bhaage
Bavre se nain chaahe, bavre jharokhon se, bavre nazaron ko takna
Bavra mann dekhne chala ek sapna


Bavre se is jahan mein bavra ek saath ho
Is sayani bheed mein bas haathon mein tera haath ho
Bavri si dhun ho koi, bavra ek raag ho
Bavri Si dhun Ho Koi, bavra ek raag Ho
Bavre se pair chahen, baavron tarano ke, bavre se bol pe thirakna
Bavra mann, dekhne chala ek sapna


Bavra sa ho andhera, bavri khamoshiyan
Bavra sa ho andhera, bavri khamoshiyan
Thartharati lou ho maddham, bavri Madhoshiyan
Bavra ek ghooghta chahe, haule haule bin bataye, bavre se mukhde se sarakana
Bavra mann, dekhne chala ek sapna





Movie : Hazaaron Khwaishein Aisi
Lyrics: Swanand Kirkirc
Singer: Swanand Kirkirc
Music : Shantanu Moitra

Labels: , ,

Tuesday, August 12, 2008

Naam Ada Likhna

I don't really understand some part of this song. But then I don't understand many things and still love them. It's so soothing and shot in breathtaking locations.


Pooche jo koi meri nishaani rang heena likhna
Gore badan pe ungli se mera naam aada likhna
Kabhi kabhi aas paas chand rehta hai
Kabhi kabhi aas paas shaam rehti hai

Aao na aao na
Jhelum mein beh lenge
Waadi ke mausam bhi ek din toh badlenge
Kabhi kabhi aas paas chand rehta hai
Kabhi kabhi aas paas shaam rehti hai

Aau toh subaha jaau toh mera naam sabah likhna
Barf pade toh barf pe mera naam dua likhna
Zara zara aag waag pass rehti hain
Zara zara kaangdi ki aanch rehti hai
Kabhi kabhi aas paas chand rehta hai
Kabhi kabhi aas paas shaam rehti hai

Shaamein bujhane aati hain raatein
Raatein bujhane tum aa gaye ho

Jab tum haste ho din ho jaata hain
Tum gale lago toh din so jaata hain
Doli uthane aayega din toh
Paas bitha lena
Kal jo miley toh
Mathe pe mere suraj uga dena
Zara zara aas paas dhup rahegi
Zara zara aas paas rang rahenge

Pooche jo koi meri nishaani rang heena likhna
Gore badan pe ungli se mera naam aada likhna
Kabhi kabhi aas paas chand rehta hai
Kabhi kabhi aas paas shaam rehti hai





Movie : Yahaan
Lyrics : Gulzar
Music : Shantanu Moitra
Singers: Shaan, Shreya Ghoshal

Labels: , , ,

Sunday, August 10, 2008

Trivenis by Gulzar

Log melon mein bhi gum ho kar mile hain barha
Dastanon ke kisi dilchasp se ek mod par

Yun hamesha ke liye bhi kya bichhadta hai koi?


Khafa rahe woh hamesha to kuch nahin hota
Kabhi kabhi jo mile aankhen phoot padti hai

Batayen kis ko baharon mein dard hota hai


Tamam safhe kitabon ke fadfadane lage
Hawa dhakel ke darwaja aa gayi ghar mein

Kabhi hawa ki tarah tum bhi aaya jaya karo


Kuch aftab aur ude kayanat mein
Main aasman ki jatayein khol raha tha

Woh tauliye se geele baal chhant rahi thi


Zameen bhi uski, zameen ki yeh nematein uski
Yeh sab usi ka hai, ghar bhi, yeh ghar ke bande bhi

Khuda se kahiye, kabhi woh bhi apne ghar aye


Main sab saman lekar aa gaya is paar sarhad ke
Meri gardan kisi ne qatl karke us taraf rakhli

Use mujh se bichhad jana gawara na hua shayad


--Gulzar

Labels: ,

Saturday, August 09, 2008

Aftab Mahtab Aur Tum

This is written in context of b'day in the time of year when sun gradually starts to lose the sting.

Aftab jalte jalte thak gaya tha
Use talash thi chandni ki leyp ki

Lekin mahtab ki thi usse bair purana
Woh ojhal ho jati uske ane se pehle hi

Phir khuda ne tumhari nemat bakhshi
Mahtab ko shikan aur aftab ko khushi

--Bibhuti

Labels:

Thursday, August 07, 2008

Love Dohas by Kabir

Akath kahani prem ki, kuch kahi na jaye
Goonge keri sarkara, baithe muskae

Translation

Inexpressible is the story of Love
It cannot be revealed by words
Like the dumb eating sweet-meat
Only smiles, the sweetness he cannot tell

==============================================

Kabir yeh ghar prem ka, khala ka ghar nahin
Sees utaare hath kar, so pasey ghar mahin

Translation

Kabir, this is the abode of love
Not the house of an aunt
Only that one can enter here
Who has relinquished all pride

===============================================

Aag jo lagi samand mein, dhuan na pargat hoye
So jane jo jarmua, jaki lagi hoye

Translation

With the ocean set ablaze
The smoke yet manifests not
Only the one who gets burnt
Envisions the heat of loving thought

===============================================

Pehle agan birha ki, pachhe prem ki pyas
Kahe kabir tub janiye, naam milan ki aaas


Translation

First the pangs of separation
Next grows the thirst for Love
Says Kabir then only hope
The union to materialize

--Kabir

Labels: , ,

Wednesday, August 06, 2008

Jidhar Dekhoon Teri Tasveer

There are just too many reasons for me to like this song. Filmed on Amitabh and Waheeda, music by the great 'Rahuldev Burman', sung by the genius 'Kishore da' and simple but meaningful lyrics. I may be partial to Amitabh but I rate him very high as a singer. The sad version of this number by him is equally good.

Jidhar dekhoon teri tasveer nazar aati hai
Teri soorat meri takdeer nazar aati hai

Jindaa hoo main, tere liye, jeevan tera hai
Mera hai jo, sab hai tera, ab kyaa mera hai
Meri khushiyon ki tu jaagir, nazar aati hai

Binaa dekhe, binaa jaane, tanaman baandhe jo
Bandhan jo, janam janam mar ke judaa naa ho
Teri chaahat wohi zanjeer nazar aati hai

Jidhar dekhoon teri tasaveer nazar aati hai
Teri soorat meri takadeer nazar aati hai






Movie : Mahaan
Singer: Kishore Kumar, Amitabh Bachhan
Lyrics: Indeevar
Music : Rahul Dev Burman

Labels: , , , ,

Sunday, August 03, 2008

Gubbare

Ek sannata bhara hua tha
Ek gubbare se kamre mein
Tere phone ki ghanti ke bajne se pehle
Baasi sa mahol yeh sara
Thodi der ko dhadka tha
Saans hili thi, nabz chali thi
Mayushi ki jhilli aankhon se utri kuch lamhon ko
Phir teri awaaz ko, aakhri baar "Khuda hafiz"
Keh ke jate dekha tha
Ek sannata bhara hua hai
Jism ke is gubbare mein
Tere aakhri phone ke baad

--Gulzar

Labels: ,

Saturday, August 02, 2008

A New 'Me'

10 years is a long time. And I never had to take any tough decision during this period. I am the kind of person who flows with time. Not really proud of this fact and probably I have paid for that in few things. Anyway that's me. The following dialogue from movie 'Dus Kahaniyaan' defines me quite correctly.

"Main khud koi faisla nahin karta, har lamha jo mere liye faisla leke ata hai main usika sath ho jata hun."

Ragging period is something you hate when you face the music and love for rest of your life. When I remember those days I can't help but smile. Going to class in a long queue(Everyday it was tough to find a leader of the queue), formal dress and shoes, eyes on third button(You look up and a slap might land from somewhere on your face), clean shave and many more things.

So why am I talking about taking decision and ragging period? Well there is a small connect. After ragging period which was around 10 years back, I have gone clean shave again last Sunday, 27th July. You might be thinking what's the big deal? No big deal for many but for a guy like me which I described earlier, it's probably a significant change. I had a nice laugh looking at the mirror and hopefully it will give a smile to friends who are used to my earlier look:)



--Bibhuti

Labels: