Sunday, August 10, 2008

Trivenis by Gulzar

Log melon mein bhi gum ho kar mile hain barha
Dastanon ke kisi dilchasp se ek mod par

Yun hamesha ke liye bhi kya bichhadta hai koi?


Khafa rahe woh hamesha to kuch nahin hota
Kabhi kabhi jo mile aankhen phoot padti hai

Batayen kis ko baharon mein dard hota hai


Tamam safhe kitabon ke fadfadane lage
Hawa dhakel ke darwaja aa gayi ghar mein

Kabhi hawa ki tarah tum bhi aaya jaya karo


Kuch aftab aur ude kayanat mein
Main aasman ki jatayein khol raha tha

Woh tauliye se geele baal chhant rahi thi


Zameen bhi uski, zameen ki yeh nematein uski
Yeh sab usi ka hai, ghar bhi, yeh ghar ke bande bhi

Khuda se kahiye, kabhi woh bhi apne ghar aye


Main sab saman lekar aa gaya is paar sarhad ke
Meri gardan kisi ne qatl karke us taraf rakhli

Use mujh se bichhad jana gawara na hua shayad


--Gulzar

Labels: ,

0 Comments:

Post a Comment

<< Home