Thursday, July 31, 2008

Bauchhar

Main kuch kuch bhoolta jata hun ab tujhko
Tera chehra bhi dhundlane laga hai ab takhaiyul mein

Badalne lag gaya hai ab woh subah sham ka mamool
Jisme tujhse milne ka bhi ek mamool shamil tha

Tere khat ate rehte the
To mujhko yaad rehte the tere awaz ke sur bhi

Tere awaz ko kagaz pe rakhke
Maine chaha tha ke pin karlun
Woh jaise teetliyon ke par laga leta hai koi apni album mein

Tera 'be' ko davake baat karna
'Wah' pe hothon ka chhalla gol hoke ghum jata tha

Bahut din ho gaye dekha nahin
Na khat mila koi
Bahut din ho gaye
Sachhi..
Teri awaaz ki bauchhar mein bheega nahin hun main

Main kuch kuch bhoolta jata hun ab tujhko
Tera chehra bhi dhundlane laga hai ab takhayul mein

Badalne lag gaya hai ab woh subah sham ka mamol
Jisme tujhse milne ka bhi ek mamool shamil tha

Mamool - Routine
Takhaiyul - Visualise



Poet : Gulzar
Story : Lovedale
Movie : Dus Kahaniyaan

Labels: , ,

0 Comments:

Post a Comment

<< Home