Sunday, January 31, 2010

Na Leke Jao

Such an intense sad song from the movie Fiza. A poem by Nida Fazli and one by W. H. Auden come to my mind which can match the feeling expressed by this song.

na le ke jao mere dost ka janaaza hai
abhi to garm hai mitti jism taaza hai
abhi to garm hai mitti yeh jism taaza hai
na le ke jao mere dost ka janaaza hai

ulajh gayi hai kahin saans khol do is ki
labon pe aayi hai jo baat poori karne do
baat poori karne do
abhi ummeed bhi zinda hai gham bhi taaza hai
na le ke jao mere dost ka janaaza hai
abhi to garm hai mitti yeh jism taaza hai

jagaao is ko gale mil ke alvida to kahun
ye kaisi ruksati hai yeh kya saleeka hai
yeh kya saleeka hai
abhi to jeene ka har ek zakhm taaza hai
na le ke jao mere dost ka janaaza hai
abhi to garm hai mitti yeh jism taaza hai



Movie : Fiza
Lyrics : Gulzar
Music : Anu Malik
Singer : Jaspinder Narula

Labels: , , , , , ,

Saturday, January 30, 2010

Road To Chicago

Road To Chicago is a sound track from the movie Road To Perdition. Haven't seen any movie where violence is portrayed so poetically. Can't explain in words but there was something about this track which touched me the very first time I heard it.



Movie : Road To Perdition
Music : Thomas Newman

Labels: ,

Monday, January 25, 2010

Nara-E-Mastana (I Am Drunk of Love)

I hardly understand the meaning of this song but it's intoxicating. I am not sure but the title Nara-E-Mastana probably translates to I Am Drunk of Love. Poetry by Wasif Ali Wasif and sung by the great Abida Parveen, it's a haunting piece. Please let me know if anyone has the got the english translation.

main nara-e-mastana main shouqi-e-rindana
main tashna kahan jaaon pee kar bhi kahan jana

main souz-e-mohabbat hoon main aik qayamat hoon
main ashk-e-nadaamat hoon main gouhar-e-yakdana

main tahir-e-lahoti main johar-e-malkooti
nasoot ne kab mujh ko is haal main pehchana

main shamm-e-farozan hoon main aatish-e-larza hoon
main sozish-e-hijraan hoon main manzil-e-parwana

kiss yaad ka shera hoon kiss chashm ka darya hoon
khud toor ka jalwa hoon hai shakl qalbhana

main husn-e-mujassim hoon main gesu-e-barham hoon
main phool hoon shabnam hoon main jalwa-e-janana

main wasif-e-bismil hoon main ronaq-e-mehfil hoon
ik toota hua dil hoon main shehar main veerana

main nara-e-mastana main shouqi-e-rindana
main tashna kahan jaaon pee kar bhi kahan jana




Album : Ishq Mastana
Artist : Abida Parveen
Lyrics : Wasif Ali Wasif

Labels: ,

Saturday, January 23, 2010

Ab Mujhe Koi Intezaar Kahan

I am tired of praising Gulzar's poetry and I definitely sound like an old record here. But what can you do when he keeps coming with such beautiful and meaningful lyrics. I don't know if it is deliberate or not but Rekha Bharadwaj sings very few numbers. But whenever she does that in collaboration with Vishal's composition and Gulzar's lyrics, something magic is created.


Ab mujhe koi intezaar kahan
Ab mujhe koi intezaar kahan
Wo jo behte the aabshaar kahan
Ab mujhe koi intezaar kahan
Ab mujhe koi intezaar kahan
Woh jo behte the aabshar kahan
Ab mujhe koi intezaar kahan
Aankh ke ek gaon mein, raat ko khwaab aate the
Aankh ke ek gaon mein, raat ko khwaab aate the
Chhoone se behte the, bole to kehte the
Udte khwaabon ka aitbaar kahan
Udte khwaabon ka aitbaar kahan
Ab mujhe koi intezaar kahan
Jin dino aap the, aankh mein dhoop thi
Jin dino aap rehte the, aankh mein dhoop rehti thi
Ab to jaale hi jaale hain, yeh bhi jaane wale hain
Woh jo tha dard ka qaraar kahan
Woh jo tha dard ka qaraar kahan
Ab mujhe koi intezaar kahan
Woh jo behte the abshaar kahan
Ab mujhe koi intezaar kahan

Aabshar : Tears falling from the eyes




Movie : Ishqiya
Lyrics : Gulzar
Music : Vishal Bharadwaj
Singer : Rekha Bharadwaj

Labels: , , ,

Friday, January 15, 2010

Tujhe Dekh Kar

I have always been a fan of Yesudas. He has such a silky and soothing voice that you don't listen to his songs rather they just dissolve in you. Enjoy this beautiful song from the movie Sawan Ko Aane Do.

tujhe dekh kar jag waale par
tujhe dekh kar jag waale par
yakeen nahi kyun kar hoga
tujhe dekh kar jag waale par
yakeen nahi kyun kar hoga

jis ki rachna itni sundar
wo kitna sundar hoga
wo kitna sundar hoga
ho aa..aa..

tujhe dekhne ko main kya
har darpan tarsa karta hai
tujhe dekhne ko main kya
har darpan tarsa karta hai

jyun tulsi ke birwa ko
har aangan tarsa karta hai
har aangan tarsa karta hai

ang ang tera ras ki ganga
ho..ho..
ang ang tera ras ki ganga
roop ka woh saagar hoga
jis ki rachna itni sundar
wo kitna sundar hoga
ho..ho..

raag rang ras ka sangam
aadharat prem kahaani ka
raag rang ras ka sangam
aadharat prem kahaani ka

mere pyaase man mein yun utri
jyun ret mein jharna paani ka
jyun ret mein jharna paani ka

apna roop dikhaane ko
apna roop dikhaane ko
tere roop mein khud ishwar hoga
jis ki rachna itni sundar
wo kitna sundar hoga
wo kitna sundar hoga
wo kitna sundar hoga
ho..ho..aa..aa..




Movie : Sawan Ko Aane Do
Music : Rajkamal
Singer : Yesudas
Lyricis : Indeewar

Labels: , ,

Monday, January 11, 2010

Asheem, the soul of Indian Ocean is no more

I am deeply pained to know that Asheem Chakravarty, the lead percussionist and singer of Indian Ocean band is no more. He was one of those rare percussionists who could sing while playing the tabla. Most of the compositions by Indian Ocean have minimal vocals but Asheem and Rahul give soul to them and you can feel the words coming straight out from the heart.


I was fortunate to attend one of their concert in Hyderabad and I can vouch that no band or singer even comes a distant close to their live performance and on stage presence. Khajuraho is my favorite song and every time I will listen to it, Asheem playing the tabla, will flash in front of my eyes.

Indina Ocean will not be the same anymore and you will be missed Asheem.

Labels: ,

Sunday, January 10, 2010

Zubaan Khamosh Hoti Hai

All of a sudden, from nowhere I started humming this beautiful song of 90s. Those were the days of Kumar Sanu, Udit Narayan , Alka Yagnik and the melodious numbers. Let me capture this moment and make it immortal by sharing it here.

zubaan khaamosh hoti hai, nazar se kaam hota hai
isi pal ka zamaane mein mohabbat naam hota hai
dekho dekho dekho mujhe pyaar ho gaya
jaane kab kaise ikraar ho gaya

zubaan khaamosh hoti hai, nazar se kaam hota hai
isi pal ka zamaane mein mohabbat naam hota hai
dekho dekho dekho mujhe pyaar ho gaya
jaane kab kaise ikraar ho gaya

haan, dekho dekho dekho mujhe pyaar ho gaya
jaane kab kaise ikraar ho gaya

yeh woh ehsaas hai jisko na lafzon ki zaroorat hai
jisse paa kar lage saara zamaana khoobsurat hai
zamaana khoobsurat hai

mohabbat naam hai jiska adaaon mein dikhaayi de
teri dhadkan ki har sargam mein yeh mujhko sunaayi de
haan yeh mujhko sunaayi de
mere hothon pe jab tere, labon ka jaam hota hai
isi pal ka zamaane mein mohabbat naam hota hai

dekho dekho dekho mujhe pyaar ho gaya
jaane kab kaise ikraar ho gaya

haan, dekho dekho dekho mujhe pyaar ho gaya
jaane kab kaise ikraar ho gaya

badal jaate hai sab aasaar jab yeh pyaar hota hai
bina bole hi chaahat ka haseen izhaar hota hai
haseen izhaar hota hai

khayaalon ki haseen waadi mein jab tum gungunaati ho
meri saanson ke dariya mein kayi toofaan laati ho
kayi toofaan laati ho

bahut bechainiyon mein bhi bada aaraam hota hai
isi pal ka zamaane mein mohabbat naam hota hai
dekho dekho dekho mujhe pyaar ho gaya
jaane kab kaise ikraar ho gaya

zubaan khaamosh hoti hai, nazar se kaam hota hai
zubaan khaamosh hoti hai, nazar se kaam hota hai
isi pal ka zamaane mein mohabbat naam hota hai

dekho dekho dekho mujhe pyaar ho gaya
jaane kab kaise ikraar ho gaya
dekho dekho dekho mujhe pyaar ho gaya
jaane kab kaise ikraar ho gaya
haan, dekho dekho dekho mujhe pyaar ho gaya
jaane kab kaise ikraar ho gaya




Movie : Main Khiladi Tu Anari
Music : Anu Malik
Singers : Kumar Sanu, Alka Yagnik

--Bibhuti@12PM

Labels: , , , ,

Friday, January 08, 2010

Hum To Mashhoor Hue Hain

A beautiful song from movie 'Dil Hai Ki Manta Nahin'. This song was missing from the movie and only released in music album. Very simple yet meaningful lyrics.

Hum to mashhoor hue hain aapki chahat mein
Kitne majboor hue hain aapki chahta mein
Hum to mashhoor hue hain aapki chahat mein...

Aap hi aap hain jaati hai jahan tak yeh nazar
Dil hamara hai magar aap ka haq hai iss par
Duniya se duur hue hain aap ki chahat mein
Kitne majboor hue hain aapki chahat mein
Hum to mashhoor hue hain aapki chahat mein...

Aap se pyaar kiya aapka armaan kiya
Ek nazar mein hi yeh dil aap pe qurbaan kiya
Hum se yeh kusoor hue hain aapki chahat mein
Hum to mashhoor hue hain aapki chahat mein
Kitne majboor hue hain aapki chahat mein
Hum to mashhoor hue hain aapki chahat mein
Aapki chahat mein
Aapki chahat mein



Movie : Dil Hai Ke Manta Nahin
Singer : Anuradha Paudwal
Music : Nadeem-Shravan
Lyrics : Rani Malik

Labels: , ,

Tuesday, January 05, 2010

Dil to bachcha hai ji

Oh thank god!! Finally something came out which just lands directly on heart through ears. Awesome poetry by Gulzar saab, brilliant composition by Vishal and great singing by Rahet Fateh Ali Khan. There are two other beautiful songs 'Ab mujhe koi intezaar kahan' and 'Ibn-E-Batuta' in this album 'Ishqiya'.

Aisi uljhi nazar unse hattati nahin
Daant se reshmi dor kattati nahin
Umar kab ki baras ke safed ho gayi
Kaari badari jawani ki chattati nahin
Walla ye dhadkan bhadne lagi hai
Chehre ki rangat udne lagi hai
Darr lagta hai tanha sone mein ji
Dil to bachcha hai ji
Dil to bachcha hai ji
Thoda kaccha hai ji
Haan dil to baccha hai ji

Aisi uljhi nazar unse hattati nahin
Daant se reshmi dor kattati nahin
Umar kab ki baras ke safed ho gayi
Kaari badari jawani ki chattati nahin
Ra ra ra ..
Ra ra ra ..

Kisko pataa tha pehlu mein rakha
Dil aisa paaji bhi hoga
Hum to hamesha samajhte the koi
Hum jaisa haaji hi hoga
Hai zor karein, kitna shor karein
Bewaja baatein pe ainwe gaur karein
Dilsa koi kamina nahin
Koi to rokey, koi to tokey
Iss umar mein ab khaogey dhokhe
Darr lagta hai ishq karne mein ji
Dil to bachcha hai ji
Dil to bachcha hai ji
Thoda kaccha hai ji
Haan dil to baccha hai ji

Aisi udhaasi baithi hai dil pe
Hasne se ghabra rahe hain
Saari jawani katra ke kaati
Piri mein takra gaye hain
Dil dhadakta hai to aise lagta hai woh
Aa raha hai yahin dekhta hi na woh
Prem ki maarein kataar re
Taubah ye lamhe kattate nahin kyun
Aankhein se meri hattate nahin kyun
Darr lagta hai mujhse kehne mein ji
Dil toh bachcha hai ji
Dil toh bachcha hai ji
Thoda kaccha hai ji
Haan dil toh baccha hai ji

Aisi ulji nazar unse hatt ti nahi
Daant se reshmi dor katt ti nahi
Umar kab ki baras ke safaid ho gayi
Kaari badari jawani ki chatt ti nahi
Walla ye dhadkan bhadne lagi hai
Chehre ki rangat udne lagi hai
Darr lagta hai tanha sone mein ji
Dil to bachcha hai ji
Dil to bachcha hai ji
Thoda kaccha hai ji
Haan dil to baccha hai ji
Aisi ulji nazar unse hattati nahin
Daant se reshmi dor kattati nahin
Umar kab ki baras ke safed ho gayi
Kaari badari jawani ki chattati nahin
Ra ra ra ..

Kisko ptaa tha pehlu mein rakha
Dil aisa paaji bhi hoga
Hum to hamesha samajhte the koi
Hum jaisa haaji hi hoga
Hai zor karein, kitna shor karein
Bewaja baatein pe ainwe gaur karein
Dilsa koi kameena nahi
Koi to rokey, koi to tokey
Iss umar mein ab khaogey dhokhe
Darr lagta hai ishq karne mein ji
Dil to bachcha hai ji
Dil to bachcha hai ji
Thoda kaccha hai ji
Haan dil to baccha hai ji

Aisi udhaasi baithi hai dil pe
Hassne se ghabra rahe hain
Saari jawani katra ke kaati
Piri mein takra gaye hain
Dil dhadakta hai to aise lagta hai woh
Aa raha hai yahin dekhta hi na woh
Prem ki maarein kataar re
Taubah ye lamhe katt te nahi kyun
Aankhein se meri hatt te nahi kyun
Darr lagta hai mujhse kehne mein ji
Dil toh bachcha hai ji
Dil toh bachcha hai ji
Thoda kaccha hai ji
Haan dil toh baccha hai ji



Movie : Ishqiya
Lyrics : Gulzar
Music : Vishal BHaradwaj
Singer : Rahat Fateh Ali Khan

Labels: , , ,