Sunday, January 31, 2010

Na Leke Jao

Such an intense sad song from the movie Fiza. A poem by Nida Fazli and one by W. H. Auden come to my mind which can match the feeling expressed by this song.

na le ke jao mere dost ka janaaza hai
abhi to garm hai mitti jism taaza hai
abhi to garm hai mitti yeh jism taaza hai
na le ke jao mere dost ka janaaza hai

ulajh gayi hai kahin saans khol do is ki
labon pe aayi hai jo baat poori karne do
baat poori karne do
abhi ummeed bhi zinda hai gham bhi taaza hai
na le ke jao mere dost ka janaaza hai
abhi to garm hai mitti yeh jism taaza hai

jagaao is ko gale mil ke alvida to kahun
ye kaisi ruksati hai yeh kya saleeka hai
yeh kya saleeka hai
abhi to jeene ka har ek zakhm taaza hai
na le ke jao mere dost ka janaaza hai
abhi to garm hai mitti yeh jism taaza hai



Movie : Fiza
Lyrics : Gulzar
Music : Anu Malik
Singer : Jaspinder Narula

Labels: , , , , , ,

0 Comments:

Post a Comment

<< Home