A poem by Nida Fazli
TUMHARI QABR PAR
MAIn FATEHA PADHNEY NAHIEn AAYAA
MUJHEY MAALOOM THA
TUM MAR NAHIEn SAKTEY
TUMHARI
MAUT KI SACHCHI KHABAR JIS NE UDAAI THI
WO JHOOTA THA
WO TUM KAB THEY
KOI SOOKHA HUA PATTA HAWA SE HIL KE TOOTA THA
MIRI AAnKHEIn
TUMHAAREY MAnZAROn MEIn QAID HAIn AB TAK
MAIn JO BHI DEKHTA HOOn
SOCHTA HOOn
WO________WOHI HAI
JO TUMHARI NEK NAAMI AUR BAD NAAMI KI DUNIYA THIKAHI
En KUCHH BHI NAHIEn BADLA
TUMHAREY HAATH
MERI UnGLIYOn MEIn SAAnS LETEY HAIn
MAIn LIKHNEY KE LIYE
JAB BHI QALAM KAAGHAZ UTHATA HOOn
TUMHEIn BAITHA HUA MAIn APNI HI KURSI MEIn PAATA HOOn
BADAN MEIn MEREY JITNA BHI LUHU HAI
WO TUMHARI
LAGHZISHOn NAAKAAMIYOn KE SAATH BAHTA HAI
MIRI AAWAAZ MEIn CHUP KARTUMHAARAA ZAHN RAHTA HAI
MIRI BEEMAARIYOn MEIn TUMMERI LA-CHAARIYOn MEIn TUM
TUMHAARI QABR PAR JIS NE TUMHAARAA NAAM LIKHA HAI
WO JHOOTA HAI
TUMHAARI QABR MEIn MAIn DAFN HOOn
TUM MUJH MEIn ZINDA HO
KABHI FURSAT MILEY TO FATIHA PADHNEY CHALEY AANAA
Labels: Nida Fazli, Poetry
5 Comments:
i read urdu poets a lot
Added this myself with a recitation from the poet himself. Check it out on the following link:
http://tandonz.blogspot.com/2009/10/verses-and.html
Thanks Himanshu. It's one of my favorite piece of poetry.
Yeh dil ki us teh se nikli hui pukar hai jo apne pure shareer ki antaryatra karne par bhi khud ko nahin dhoondh paati. Aur apne astitva ko pukaarati hai.
Most Respected Nida Fazli Saab,
Every son in grief over his fathers loss will find solace not in temples or in worshipping place but in your poetic lines.
Tumhare kabr Par is just a great medicine to endure a persons loss who happens to be ones father.
Aapke Paav chutha hua
A true son for his father
Post a Comment
<< Home