Friday, January 15, 2010

Tujhe Dekh Kar

I have always been a fan of Yesudas. He has such a silky and soothing voice that you don't listen to his songs rather they just dissolve in you. Enjoy this beautiful song from the movie Sawan Ko Aane Do.

tujhe dekh kar jag waale par
tujhe dekh kar jag waale par
yakeen nahi kyun kar hoga
tujhe dekh kar jag waale par
yakeen nahi kyun kar hoga

jis ki rachna itni sundar
wo kitna sundar hoga
wo kitna sundar hoga
ho aa..aa..

tujhe dekhne ko main kya
har darpan tarsa karta hai
tujhe dekhne ko main kya
har darpan tarsa karta hai

jyun tulsi ke birwa ko
har aangan tarsa karta hai
har aangan tarsa karta hai

ang ang tera ras ki ganga
ho..ho..
ang ang tera ras ki ganga
roop ka woh saagar hoga
jis ki rachna itni sundar
wo kitna sundar hoga
ho..ho..

raag rang ras ka sangam
aadharat prem kahaani ka
raag rang ras ka sangam
aadharat prem kahaani ka

mere pyaase man mein yun utri
jyun ret mein jharna paani ka
jyun ret mein jharna paani ka

apna roop dikhaane ko
apna roop dikhaane ko
tere roop mein khud ishwar hoga
jis ki rachna itni sundar
wo kitna sundar hoga
wo kitna sundar hoga
wo kitna sundar hoga
ho..ho..aa..aa..




Movie : Sawan Ko Aane Do
Music : Rajkamal
Singer : Yesudas
Lyricis : Indeewar

Labels: , ,

0 Comments:

Post a Comment

<< Home