Thursday, July 31, 2008

Bauchhar

Main kuch kuch bhoolta jata hun ab tujhko
Tera chehra bhi dhundlane laga hai ab takhaiyul mein

Badalne lag gaya hai ab woh subah sham ka mamool
Jisme tujhse milne ka bhi ek mamool shamil tha

Tere khat ate rehte the
To mujhko yaad rehte the tere awaz ke sur bhi

Tere awaz ko kagaz pe rakhke
Maine chaha tha ke pin karlun
Woh jaise teetliyon ke par laga leta hai koi apni album mein

Tera 'be' ko davake baat karna
'Wah' pe hothon ka chhalla gol hoke ghum jata tha

Bahut din ho gaye dekha nahin
Na khat mila koi
Bahut din ho gaye
Sachhi..
Teri awaaz ki bauchhar mein bheega nahin hun main

Main kuch kuch bhoolta jata hun ab tujhko
Tera chehra bhi dhundlane laga hai ab takhayul mein

Badalne lag gaya hai ab woh subah sham ka mamol
Jisme tujhse milne ka bhi ek mamool shamil tha

Mamool - Routine
Takhaiyul - Visualise



Poet : Gulzar
Story : Lovedale
Movie : Dus Kahaniyaan

Labels: , ,

Tuesday, July 29, 2008

Tinka Tinka

I don't know what form exactly is the piece which I am going to post here. To me, it's a thought which few can probably relate to.

Tinka tinka samet raha tha zindagi ka
Jhooti tasalliyon ko bhi sach maan raha tha

Aaina se aankhen churana sikh gaya
Chand se bhi kar liya parda
Neend se sulah karli
Sapno se bhi kar liya bair

Phir se chalna sikh raha tha tum bin..


Aur phir ek purani tasveer
Kitab ke panno se phisli

Kuch yaadein chhalke
Ek toofan sa aya
Sare kachhe bandh toot gaye
Tumne sab phir se bikhar ke rakh diya

Kab tum mujhe mere hawale karogi?

--Bibhuti

Labels:

Dastak

Khidki aur darwaja maine band karke rakha tha
Sari raat hawa dastak deti rahi, toofan tej tha

Koshis kitna bhi karlun, tum yaad aa hi jate ho

--Bibhuti

Labels: ,

Sunday, July 27, 2008

Bin Tum

Dus Kahaniyaan is a brave try from Sanjay Gupta. It's a collection of 10 stories which are not related to each other in any way. One of the story is 'Lovadale' which is a love story scripted by an angel ghost. I read many reviews where people blasted this story, but I loved it. So why I liked it ?

1. Nothing is said but everything is understood.

2. Happy ending:) Sala life ko bhi movie hona mangta. Jab chahe jahan change karne ka.

3. I can relate to the character of Aftab (Not talking about love story) and the dialogues are meaningful.

"Main khud koi faisla nahin karta, har lamha jo mere liye faisla leke ata hai main usika sath ho jata hun."

"Coffee bhi baiman cheez hai, woh dekhti hai use pine wala kaun hai. Us hisab se banti hai."

"Kuch sawalon ke jawab nahin hote."

4. The song played in background is awesome. Beautiful lyrics and brilliantly sung by KK.

Aankhon mein intezar ke badal baras gaye
Hum dekhne ko aapka chehra taras gaye
Bin tum gumsum hone lage, jaane kis duniya mein khone lage
Aankhon mein inteezar ke badal baras gaye

Resham se dil ke yeh ristein, rishto ki nazuk dor
Is dor pe janejana chalta nahi koi jor
Tujhe dhoondti hai nazarein, zara saamne to aa
Bebas hai dil yeh mera, dil thaamne to aa
Saare jahaan mein tum humein tanha sa kar gaye
Bin tum gumsum hone lage, jaane kis duniya mein khone lage
Aankhon mein inteezar ke badal baras gaye

Bheegi bheegi lagti hai raatein, dilbar teri yaad mein
Tu hi chhupa rehta hai shayad, meri har fariyaad mein
Tu kareeb dil ke itna, hai meharbaan re
Main sunu teri woh baatein, jo mann mein tu kahein
Kis dar jaan dekho tum meri dhadkan mein bas gaye
Bin tum gumsum hone lage, jaane kis duniya mein khone lage
Aankhon mein inteezar ke badal baras gaye





Singer: KK
Lyrics: Panchhi Jalonvi
Music : Anand Raj Anand
Movie : Dus Kahaniyaan

Labels: , ,

Saturday, July 26, 2008

Swimming Pool

Garmi se kal raat achanak aankh khuli to
Jee chaha ki swimming pool ke
Thande pani mein ek dubki maar ke aaun
Bahar aa kar swimming pool pe dekha to hairan hua
Jane kab se
Bin pooche ek chand aaya aur mere pool mein
Aankhen band kiye leta tha, tair raha tha
Uuf! Kal raat bahut garmi thi

--Gulzar

Labels: ,

Tuesday, July 22, 2008

Sone De Maa

Teri kahaani mein sacchayee jeeti sada,
Tu hi bata maa kya jhoota woh vishwaas tha,
Bikhra kyon maa mere sapnon ka sansaar tha,

Lamha-lamha dhokha naya,
Tanha-tanha main thak gaya.

Sone de maa ab na jeena
Sone de maa ab na jeena
Sone de maa ab na jeena
Sone de maa ab na jeena

Hmmm hmmm hmmmmmmmmhmmm hmmm
Hooho hoo hoo hooo
Hmmm hmmm hmmmmmmmmhmmm hmmm

Sapna jo toota bhi, dekho main roya nahin,
Saaya jo rootha bhi, khud ko main khoyaa nahin,
Sadiyaan hui tere aanchal mein soya nahi.

Lamha-lamha jeeta jahaan,
Ladhte ladhte main thak gaya.

Sone de maa ab na jeena
Sone de maa ab na jeena
Sone de maa ab na jeena
Sone de maa ab na jeena
Sone de maa ab na jeena
Sone de maa ab na jeena
Sone de maa ab na jeena
Sone de maa ab na jeena



Band: Euphoria
Album: Gully

Labels: , , ,

Sunday, July 20, 2008

Uljhan

Ek pashemani rehti hai
Uljhan aur girani bhi..
Aao phir se ladh kar dekhen
Shayad is se behtar koi
Aur sabab mil jaye hum ko
Phir se alag ho jane ka!!

pashemani : guilt
girani : heaviness
sabab : cause

--Gulzar

Labels: ,

Saturday, July 19, 2008

Indradhanush

Aasman kala pad gaya hai ghane badlon se
Baaris se dhoya lekin indradhanush reh gaya

Kya main kabhi tumhe mita paunga yaadon se?

--Bibhuti

Labels: ,

Thursday, July 17, 2008

10 Less Known Facts About Bibhuti

The phase between going to sleep and actually sleeping is very dangerous. If you are at peace with yourself and happy then that's the best time to relive the beautiful moments. And if you are troubled for some reason then that's the worst possible period. It won't let you sleep.

In one of the nights, I was not able to sleep and many things starting from childhood days to school days to college days were going in my mind. I thought of writing down some less known facts about me. Unfortunately nothing explosive but few must be new to my friends also.

1. I am very particular about spelling.

2. I don't like when people write sentence in uppercase.

3. The lowest mark I have ever scored in any exam is 3 out of 60(Mid-term for Microprocessor). When the professor decides to strike, he strikes hard. Fortunately I had most of the class in company in single digit. I did score 55 out of 80 in the main semester.

4. I have scored 100 only once in life. Maths(Class 7 board exam).

5. In the morning of exam day, I used to get up very early in morning(3 or 4 AM) and scan the whole syllabus once. Else it was giving me feeling that I have left something.

6. I never used to discuss the answers once out of the exam hall.

7. The only movie I have seen twice in theatre is 'Ajay'. It was not that the movie was so good but just situation.

8. I have the same ringtone since I started using cell around 5 years back.

9. I hate reality shows.

10. I go to sleep with music on.

Labels:

Triveni by Gulzar

This man is a genius. How can he think like this ? Everytime he surpasses himself. Keep coming Gulzar saab.

Sab pe aati hai, sab ki bari se
Maut munsif hai, kam-o-besh nahin

Zindagi sab pe kyon nahin aati?

Munsif : Judge, Just

--Gulzar

Labels: ,

Wednesday, July 16, 2008

Kuch Nahin by Euphoria

It all started with 'Maaeri' and Euphoria has never disappointed me since then. They have a unique style, write their own lyrics and are full of energy. As usual my favourite songs of Euphoria may not be most popular ones. Here they go.

1. Ab Na ja
2. Kuch Nahin
3. Sone De Maa

The big brother google didn't help me to get the lyrics of 'Kuch Nahin'. So had to write down myself. Simple, beautiful, meaningful, soothing, mesmerizing romantic song. Did I miss any other adjective ? Listen to it and decide yourself.

Saanse jeevan bina
Jeevan dhadkan bina
Hai adhura jahan tere bina

Tan hai mann se judaa
Mann chaman gumshuda
Khud se na vasta tere bina

Bezubaan hai zubaan
Benishan har nishan
Ajnabee aainaa tere bina

Main hun kya tere bina
Kuch nahin kuch nahin
Yeh shama tere bina
Aankhon se aansoo jaise judaa
Yeh jeena tere bina
Kuch nahin kuch nahin

Tujh bin manzil hi kya
Tujh bin mehfil bhi kya
Soona dil ka makan tere bina

Isko kya main kahoon
Ishq ya phir junoon
Yun hi kaise jeeun tere bina

Main hun kya tere bina
Kuch nahin kuch nahin
Yeh shama tere bina
Saanson se jeevan jaise judaa

Yeh jeena tere bina
Kuch nahin kuch nahin

Main hun kya
Jeevan se saanse jaise judaa
Yeh jeena tere bina
Kuch nahin kuch nahin

Yeh shama tere bina
Neendo se sapne jaise judaa
Yeh jeena tere bina

Kuch nahin
Kuch nahin
Kuch nahin
Kuch nahin
Kuch nahin





Band : Euphoria
Album: Gully

Labels: , , ,

Tuesday, July 15, 2008

Tera Chehra

Yeh zameen ruk jaaye, aasmaan jhuk jaaye
Tera chehra jab nazar aaye
Ho, tera chehra jab nazar aaye

Tu ijaazat de agar
Tujhse thoda pyaar main kar loon, jaane jaan
Baith mere saamne
Khaali dil khaali nazar bhar loon, jaane jaan

Tu khafa ho jaaye, raat abhi ho jaaye
Bin tere aanchal mein chhup jaaye, chhup jaaye
Yeh zameen ruk jaaye, aasmaan jhuk jaaye
Tera chehra jab nazar aaye
Ho, tera chehra jab nazar aaye

Tu agar keh de mujhe
Chaand bhi le aaoon jaane jaan, jaane jaan
Ek taara maang le
Aasmaan le aaoon jaane jaan, jaane jaan
Yaad tu jab aaye, neend bhi le jaaye
Khwaabon ke jungle mein chhup jaaye, chhup jaaye

Yeh zameen ruk jaaye, aasmaan jhuk jaaye
Tera chehra jab nazar aaye
Ho, tera chehra jab nazar aaye



Song: Tera Chehra
Album: Tera Chehra
Singer: Adnan Sami

Labels: , , ,

Monday, July 14, 2008

Har Pal

Tum mujh mein dafn ho kahin,
Main tumhe har pal jee raha hun

Tum mujh mein zinda ho kahin,
Aur main har pal mar raha hun

--Bibhuti

Labels:

Sunday, July 13, 2008

Only You and You Alone

I was watching a mad mad movie 'Hot Shots' and I loved it. Outrageously funny. It's good to see that people have the courage to make such weird movie. There was a song in this movie and I think it is 'Only You and You Alone'. Beautiful lyrics.


Only you can make this world seem right
Only you can make the darkness bright
Only you and you alone
Can thrill me like you do
And fill my heart with love for only you

Only you can make this change in me
For it's true, you are my destiny
When you hold my hand
Understand the magic that you do

You're my dream come true
My one and only you

Only you can make this change in me
For it's true, you are my destiny
When you hold my hand
I understand the magic that you do

You're my dream come true
My one and only you

One and only you

Tu Meri Zindagi Hai

Tu meri zindagi hai, tu meri har khushi hai
Tu hi pyaar, tu hi chaahat, tu hi aashiqui hai
Tu meri zindagi hai, tu meri har khushi hai

Pehli mohabbat ka ehsaas hai tu
Bujhke jo bujh naa paayi, voh pyaas hai tu
Tu hi meri pehli khwaaish, tu hi aakhri hai
Tu meri zindagi hai, tu meri har khushi hai

Har zakhm dil ka tujhe dil se duaa de
Khushiya tujhe, gham saare mujhko khuda de
Tujhko bhula na paaya, meri bebasi hai
Tu meri zindagi hai, tu meri har khushi hai

Oh, oh, aah aah aah aah, oh oh oh
Tu meri zindagi hai, tu meri har khushi hai
Tu hi pyaar, tu hi chaahat, tu hi aashiqui hai
Tu meri zindagi hai, tu meri har khushi hai
Hmm, hmm hmm hmm, hmm hmm, hmm mm mm mm mm





Movie : Aashiqui
Lyrics : Sameer
Music : Nadeem Shravan
Singers: Kumar Sanu,Anuradha Paudwal

Labels: ,

Saturday, July 12, 2008

Sar Kiye Yeh Pahaar

Sar kiye yeh pahaar dariyaon ki gehrayion mein tujhe dhunda hai
Aa bhi ja ek baar mere yaar aise na looto mere man ka qarar

Ho gaya hai tumse pyar mere yaar aise na looto mere man ka qarar
Mere yaar aise na looto mere man ka qaraaaaaaaaaaaaaaaaaaaar

Jidhar bhi dekhu tu hi nazar aati hai
Aankhen band karlu to tu aur kareeb aati hai

Mere yaar aise na looto mere man ka qarar
Mere yaar aise na looto mere man ka qarar

Khusboo teri mujhe jo chhoo jati hai
Mere man mein kaise yeh deep jala jati hai

Mere yaar aise na looto mere man ka qarar
Mere yaar aise na looto mere man ka qarar

Ho gaya hai tumse pyar
Ho gaya hai tumse pyar
Mere yaar aise na looto mere man ka qarar
Mere yaar aise na looto mere man ka qarar




Lyrics: Bilal Maqsood
Singer: Bilal Maqsood
Band : Strings

Labels: , , ,

Wednesday, July 09, 2008

Jaane Tu Meri Kya Hai

Jaane tu meri kya hai
Jaane mein tera kya tha
Saath tere har pal
Saath tere har lamha tha

Jaane kaisi kasak hai
Jaane kaisi tadap hai
Kyun yeh aankhen nam hai
Jaane kaisa gum hai

Hai dosti humko yakin tha
Dosti aur kuch bhi nahi tha
Par kaise tujhko baatein
Kyun chubhte hain pairo mein kaante

Jaana dil jaana
Kaise mene na jana
Ke pyaar yehi hai
Yeh jaane tu ya jaane na

Jaana dil jaana
Kaise tune na jana
Ke pyaar to hai
Yeh jaane tu ya jaane na

Jaane tu meri kya hai
Jaane mein tera kya tha
Saath tere har pal
Saath tere har lamha tha

Kyon aise chubhti hai
Tujhse doori
Kyon lagti hai
Zindagi yun adhuri
Chhua tujhko to kisne ne to lagake
Dil mein kisine to aag laga de
Duniya jaala di hai meri

Jaane tu meri kya hai
Jaane mein tera kya tha
Saath tere har pal
Saath tere har lamha tha

Jaane kaisi kasak hai
Jaane kaisi tadap hai
Kyun aankhen nam hai
Jaane kaisa gum hai

Hai dosti humko yakin tha
Dosti aur kuch bhi nahi tha
Par kaise tujhko baatein
Kyun chubhte hain pairo mein kaante

Jaana dil jaana
Kaise mene na jana
Ke pyaar yehi hai
Yeh Jaane tu ya jaane na

Jaana dil jaana
Kaise tune na jana
Ke pyaar to hai
Yeh Jaane tu ya jaane na





Movie : Jaane Tu ...Ya Jaane Na
Singer : Sukhwinder Singh
Lyricist : Abbas Tyrewala
Music Director : A.R.Rehman

Tuesday, July 08, 2008

Khwahish

Aaj is pathar ko khuda banane ko jee chahta hai
Aur duaon mein tumhe maang lene ko jee chahta hai

Tere jate kadmon ki aahat halke halke khamosh ho gayi
Lekin der tak unke ane ki intezar karne ko jee chahta hai

Bahut karli koshis-e-nakam tumse nafrat karne ki
Thoda aur pyar karne ko aaj jee chahta hai

--Bibhuti

Labels:

Monday, July 07, 2008

Doordarshan Days

Doordarshan had it's past. And a bright one. The present of DD can't ruin the beautiful memories with which I have grown up as a kid. There were many great serials, but somehow I still have the hazy picture of the following not so popular ones.

1. Kshitij Yeh Nahin

It was a mature love story between a widow played by Supriya Pilgaonkar and her business rival(Don't remember the name). Rajit Kapoor was her husband and was seen in flashback. She liked that guy but always pretended otherwise. At last her father-in-law and the guy plotted a fake accident which let her emotion come out.

It was just 13 episodes and did finish unlike Ekta Kapoor's serials.

2. Talash

I don't remeber much about this serial apart from the title song. If I am right the song used was 'Tum Pukar Lo' from movie 'Khamoshi'. The story was about a brother going in search for his younger brother.

3. Chekov Ki Duniya

This serial was based on stories of Anton Chekhov. There was an episode where Anu Kapoor tries to seduce a woman just by plain talking. That was simply amazing.

4. Badla

It was based on two brothers who fight against the system. I used to like the title song a lot. The lyrics was something like this.

Juwan agar kat jaye to lahoo pukarega badla
Mange se nahin milta to hum chhin ke lete hain badla

Labels: ,

Hausla

Tu khursheed hai, baadalon mein na chhup
Tu mehtaab hai, jagmagaana na chhod

Tu shokhi hai shokhi, riaayat na kar
Tu bijli hai bijli, jalaana na chhod

Abhi ishq ne haar maani nahin
Abhi ishq ko aazmaana na chhod

-Kaifi Azmi

Labels: ,

Sunday, July 06, 2008

Pashemaani

Main ye soch kar uske dar se uttha tha
Ki woh rok legi, manaa legi mujhko,

Hawaaon mein lehraata aata tha daaman
Ki daaman pakad kar bittha legi mujhko,

Kadam aise andaaz se utth rahe thay
Ki aawaaz dekar bula legi mujhko,

Magar usne roka na mujhko manaaya
Na daaman hi pakda na mujhko bitthaaya,

Na aawaaz hi di, na waapas bulaaya
Main aahista-aahista badhta hi aaya,

Yahaan tak ki usse juda ho gaya main.

- Kaifi Azmi

Labels: ,

Saturday, July 05, 2008

Kya Yehi Pyaar Hai

Kya yehi pyaar hai
Haan yehi pyaar hai

Dil tere bin kahin lagta nahin
Waqt guzarta nahin

Kya yehi pyaar hai
Haan haan, haan yehi pyaar hai

Dil tere bin kahin lagta nahin
Waqt guzarta nahin
Kya yehi pyaar hai
Haan yehi pyaar hai

Pehle main samjha kuch aur vaje in baaton ki
Lekin ab jaana kahan neend gayi meri raaton ki

Jaagti rehti hoon main bhi, chaand nikalta nahin,
Dil tere bin kahin lagta nahin
Waqt guzarta nahin
Kya yehi pyaar hai, bolo, bolo na
Haan yehi pyaar hai

Kaise bhooloongi, tu yaad hamesha aayega
Tere jaane se jeena mushkil ho jaayega

Ab kuch bhi, ho, dil pe koi zor to chalta nahin
Dil tere bin kahin lagta nahin
Waqt guzarta nahin
Kya yehi pyaar hai
Haan, haan yehi pyaar hai

Jaise phoolon ke mausam mein yeh dil khilte hain
Premi aise hi kya patjhad mein bhi milte hain

Rut badle, duniya badle, pyaar badalta nahin,
Dil tere bin kahin lagta nahin
Waqt guzarta nahin
Kya yehi pyaar hai

Haan yehi pyaar hai
Dil tere bin kahin lagta nahin
Waqt guzarta nahin





Movie: Rocky
Music: R.D.Burman
Lyrics: Anand Bakshi
Singers: Kishore Kumar, Lata Mangeshkar

Labels: , , ,

A triveni by genius Gulzar

Tum chale gaye ho
Baarish ruk si gayi hai

Boondein ab bhi tapak rahi hai

--Gulzar

Labels: ,

Friday, July 04, 2008

Adoholik - Site Statistics 2008

A small little milestone of my other blog Adoholik which I wanted to share with you. I know 'you' doesn't consist of many but however small it is, you are important to me:) Here is the site statistics(produced by awstat utility) for last six months. I am glad that it crossed 10k unique visitors. Miles to go.

Labels:

Thursday, July 03, 2008

Tum

Aise ho shamil mujh mein tum katra katra,
Ke aaina bhi pooche mujhse, "tum kaun ho"?

Kabhi aana tum milne tumse..

--Bibhuti

Labels: ,

Tuesday, July 01, 2008

Shikayat Hai

Shikayat hai shikayat hai shikayat hai
Mujhko dil se yehi shikayat hai shikayat hai
Mujhko dil se yehi shikayat hai shikayat hai
Jo usko mil nahi sakta
Jo usko mil nahi sakta kya uski chaahat hai
Mujhko dil se yehi shikayat hai shikayat hai

Tukdo tukdo mein mujhse
Roz milne wale sun
Jab mukammal nahin milna
To koi khwaab na bun
Tanha tanha hoon mein
Mujhe teri zaroorat hai
Mujhko dil se yehi shikayat hai shikayat hai

Yeh teri zulfein teri aankhen
Uff yeh tera pair hai
Aur khushboo se mehekta hua
Yeh gora sa badan
Jaanta hoon mein lekin
Kisi gair ki amanat hai
Mujhko dil se yehi shikayat hai shikayat hai

Bin tere mujhko zindagi Se
Khauff lagta hai
Kishto kishto mein mar raha hoon
Roz lagta hai
Is liye mujhko apni
Zindagi se nafrat hai
Mujhko dil se yehi shikayat hai shikayat hai
Shikayat hai shikayat hai shikayat hai





--A song by Roop Kumar Rathod from movie 'Jism'

Labels: , , ,