Sunday, June 06, 2010

Ya Dil Ki Suno Duniya Waalon

ya dil ki suno duniya waalon
yaa mujh ko abhi chup rehne do
main gham ko khushi kaise keh dun
jo kahte hain unko kahne do

yeh phool chaman mein kaisa khila
maali ki nazar mein pyaar nahin
haste huye kya kya dekh liya
ab behte hain aansoo behne do

ek khwaab khushi ka dekha nahin
dekha jo kabhi to bhool gaye
manga hua tum kuch de na sake
jo tum ne diya woh sahne do

kya dard kisika lega koi
itana to kisi mein dard nahin
bahate huye aansoo aaur bahe
ab aisi tasalli rehne do

ya dil ki suno duniya waalon
yaa mujh ko abhi chup rehne do
main gham ko khushi kaise keh dun
jo kahte hain unko kahne do



Movie : Anupama
Music : Hemant Kumar
Singer: Hemant Kumar
Lyrics: Kaifi Azmi

Labels: ,

Tuesday, October 14, 2008

Waqt Ne Kiya Kya Haseen Sitam

Two words come to my mind when I listen to this song. Powerful and Simple. Heart is a different matter.

Waqt ne kiya kya haseen sitam
Tum rahe na tum hum rahe na hum

What's the need of thousand lines if you can write like this. Awesome lyrics by Kaifi Azmi.


Waqt ne kiya kya haseen sitam
Tum rahe na tum hum rahe na hum
Waqt ne kiya…

Beqaraar dil is tarha mile
Jis tarha kabhi hum judaa na the
Tum bhi kho gaye, hum bhi kho gaye
Ek raah par chalke do qadam
Waqt ne kiya…

Jaayenge kahan sujhta nahi
Chal pade magar raasta nahi
Kya talaash hai kuchh pata nahi
Bun rahe hain dil khaab dam-ba-dam
Waqt ne kiya…




Movie : Kaagaz Ke Phool
Singer : Geeta Dutt
Lyrics : Kaifi Azmi
Music : Sachin Dev Burman

Labels: , , ,

Monday, July 07, 2008

Hausla

Tu khursheed hai, baadalon mein na chhup
Tu mehtaab hai, jagmagaana na chhod

Tu shokhi hai shokhi, riaayat na kar
Tu bijli hai bijli, jalaana na chhod

Abhi ishq ne haar maani nahin
Abhi ishq ko aazmaana na chhod

-Kaifi Azmi

Labels: ,

Sunday, July 06, 2008

Pashemaani

Main ye soch kar uske dar se uttha tha
Ki woh rok legi, manaa legi mujhko,

Hawaaon mein lehraata aata tha daaman
Ki daaman pakad kar bittha legi mujhko,

Kadam aise andaaz se utth rahe thay
Ki aawaaz dekar bula legi mujhko,

Magar usne roka na mujhko manaaya
Na daaman hi pakda na mujhko bitthaaya,

Na aawaaz hi di, na waapas bulaaya
Main aahista-aahista badhta hi aaya,

Yahaan tak ki usse juda ho gaya main.

- Kaifi Azmi

Labels: ,