Sunday, October 19, 2008

Nahin Saamne

Like a lightning, songs strike me suddenly; Sometimes while trying to sleep, sometimes on the way to office, sometimes while working and so on. Today, it was turn of this beautiful song from 'Taal' on the way to office.

Dekho chhodke kis raste woh jaate hain
Saare raste waapas mere dil ko aate hain

Dil se
Nahin saamne
Nahin saamne ye alag baat hai
Nahin saamne ye alag baat hai
Mere paas hai
Mere paas hai tu mere paas hai
Mere paas hai tu mere paas hai
Mere saath hai mere saath hai

Tera naam maine liya hai yahaan
Mujhe yaad tune kiya hai wahaan
Tera naam maine liya hai yahaan
Mujhe yaad tune kiya hai wahaan
Bade zor ki aaj barsaat
Bade zor ki aaj barsaat
Mere paas hai tu mere paas hai
Mere paas hai tu mere paas hai
Mere saath hai mere saath hai

Bichhad ki bhi mujhse juda to nahin
Khafa hai magar bewafa to nahin
Bichhad ki bhi mujhse juda to nahin
Khafa hai magar bewafa to nahin
Mere haath mein hi tera haath hai
Mere haath mein hi tera haath hai
Mere paas hai tu mere paas hai
Mere paas hai tu mere paas hai
Mere saath hai mere saath hai
Mere paas hai mere paas hai
Mere saath hai mere saath hai
Mere paas hai mere paas hai





Movie : Taal
Music : A.R.Rehman
Singer : HariHaran
Lyrics : Anand Bakshi

Labels: , , ,

Tuesday, October 14, 2008

Waqt Ne Kiya Kya Haseen Sitam

Two words come to my mind when I listen to this song. Powerful and Simple. Heart is a different matter.

Waqt ne kiya kya haseen sitam
Tum rahe na tum hum rahe na hum

What's the need of thousand lines if you can write like this. Awesome lyrics by Kaifi Azmi.


Waqt ne kiya kya haseen sitam
Tum rahe na tum hum rahe na hum
Waqt ne kiya…

Beqaraar dil is tarha mile
Jis tarha kabhi hum judaa na the
Tum bhi kho gaye, hum bhi kho gaye
Ek raah par chalke do qadam
Waqt ne kiya…

Jaayenge kahan sujhta nahi
Chal pade magar raasta nahi
Kya talaash hai kuchh pata nahi
Bun rahe hain dil khaab dam-ba-dam
Waqt ne kiya…




Movie : Kaagaz Ke Phool
Singer : Geeta Dutt
Lyrics : Kaifi Azmi
Music : Sachin Dev Burman

Labels: , , ,

Thursday, October 09, 2008

Yeh Tumhari Meri Baatein

A very different kind of romantic song and is a difficult one too. The song completely belongs to the singer Dominique Cerejo who has sung it just beautifully.

Yeh tumhari meri baatein, hamesha yuhin chalti rahe
Yeh hamari mulakate, hamesha yuhin chalti rahe
Beete yuhin apne saare din raat
Baaton se nikalti rahe nayi baat
Phir wohi baatein leke geet koi hum likhe
Jo dil ko haan sab ke dil ko chu le
Baatein suron mein yuhin pighalti rahen
Baatein geeton mein yuhin dhalti rahen

Geeton mein haan humko khusiyon se hum saja de
Jo sune gaaye woh hum se gaaoon na

Yeh tumhari meri baatein, hamesha yuhin chalti rahe
Yeh hamari mulakate, hamesha yuhin chalti rahe
Beete yuhin apne saare din raat
Baaton se nikalti rahe nayi baat
Phir wahin baatein leke geet koi hum likhe
Jo dil ko haan sab ke dil ko chu le
Baatein suron mein yuhin pighalti rahen
Baahein geeton mein yuhin dhalti rahen





Movie : Rock On
Music : Shankar Ehsaan Loy
Singer : Dominique Cerejo
Lyrics : Javed Akhtar

Labels: , , ,

Waqt

Kambakht waqt ne bhi dagaa de diya
Socha tha marham leke ayegi
Jab jab gujregi mere ghar se
Lekin zakhm aur gehra karti jati har baar.
Kya gilaa karen usse, kasoor uska bhi nahin
Mere ghar ka raasta ab bhi tere gali se hoke jo aata hai

--Bibhuti

Labels:

Wednesday, October 08, 2008

Apni Aankhon Ke Samundar

Apni aankhon ke samundar mein utar jaane de
Tera muzrim hun mujhe doob ke mar jane de

Aye naye dost na samjhunga tujhe bhi apna
Pehle maaji ka koi zakhm to bhar jaane de

Apni aankhon ke samundar mein utar jaane de
Tera muzrim hun mujhe doob ke mar jane de

Aag duniya ki lagayee hui bujh jayegi
Koi aansoon mere daaman pe bikhar jaane de

Zakhm kitne teri chahat se mile hain mujhko
Sochta hun ke kahun tujh se magar jaane de

Apni aankhon ke samundar mein utar jaane de
Tera muzrim hun mujhe doob ke mar jane de




--A song by Jagjit Singh

Labels: , , ,

Friday, October 03, 2008

Kehta Hai Baabul

I may not be the right person now(May be after 30 years) to pass judgement on the sensitivity of this song. But I find this very touching specially the version sung by Amitabh Bachchan.

Kehta hai baabul
O meri bitiya
Tu to hai mere
Jigar ki chitthiya

Daakiya koi
Jab aayega
Tujhko churaake
Le jayega

Katega kaise lamha
Tere bina bata
Jeeungaa kaise tanhaa
Tere bina bata

Tu suhagan rahe sang saajan rahe raat din
Is khushi ke liye har sitam main uthaa loonga
Tere jaane ka gham mujhko hoga magar laadli
Leke is dard ko main sada muskuraaunga

Baabul to dil se de raha dua yehi
Khushi ke saaye mein ho zindagi teri

Waqt ke saath zakhm ye bhar jayega
Pal guzar jaayega tu meri baat maan le
Yaadon ke aasre umr katati nahin
Hai haqiqat yehi, ab tu jaan le

Sumundaron ka paani koi na pi saka
Akela khaara jeevan koi na ji saka
Sumundaron ka paani koi na pi saka
Akela khaara jeevan koi na ji saka

Kehta hai baabul
O meri bitiya
Tu to hai mere
Jigar ki chitthiya

Daakiya koi
Jab aayega
Tujhko churaake
Le jayega

Katega kaise lamha
Tere bina bata
Jiunga kaise tanha
Tere bina bata





Movie : Baabul
Music : Shrivastava
Lyrics : Sameer
Singer : Amitabh Bachchan

Labels: , ,