Tere Jaane Se Kuch To Badla Nahin
Sunset Point is a master piece by Gulzar and Vishal. A love story is so beautifully narrated by Gulzar saab himself and the songs are created to fit into the situations seamlessly. Nobody can play with words like Gulzar saab. His greatness is to express the complex feeling subtly in simple words. One of my favorite line is "woh der se pahuncha tha lekin waqt par pahuncha" which in itself tells a whole story.
Woh phir pul ke usi kinare aake khadi ho gayi
zindagi ka aakhri kadam uthane ke liye
kohre se chhan ke aati huti aawaz ne use rok diya
yeh to usi ki aawaz thi
woh der se pahuncha tha lekin waqt par pahuncha
I like the whole album but this song of separation is different. The first portion below is the narration by Gulzar saab before the song "tere jaane se kuch to badla nahin".
dholak ki thap dur daraj ke mohallon tak sunai di
jab use khabar mili to woh bhi pahuncha
khidkiyon darwazon se jhank jhank kar uski nazar pakadne ki koshish karta raha
mehandi se sazi tak dulahan tak pahuchna mushkil tha
ek saheli dulhan ke liye chai ki pyali lekar aayi
usne to maangi nahi thi
saheli ne aankh jhapak kar kaha,
pilo cup mein paigaam bhi hai
cup ki tah mein usne angoothi rakh kar bheji thi
usne angoothi hothon se pili aur ungali mein pahan li
saheli ke mehandi lagi hatheli par likh ke bhej diya
usi sunset par milna jo pool par mila tha
lekin sandesa pahucha nahin
woh ja chuka tha
pal bhar mein sab badal gaya
aur kuch bhi nahi badla
jo badla tha woh to guzar gaya......
tere jaane se kuch to badla nahin
tere jaane se kuch to badla nahin
raat bhi aayi thi aur chand bhi tha
raat bhi aayi thi aur chand bhi tha
tere jaane se kuch to badla nahin
tere jaane se kuch to badla nahin
saans bhi waise hi chalti hai hamesha ki tarah
aankh waise hi jhapakti hai hamesh ki tarah
thodi si bheegi huyi rehti hai aur kuch bhi nahin
tere jaane se kuch to badla nahin
tere jaane se kuch to badla nahin
hoth khusk hoti hain aur pyaas bhi lagti hai
aaj kal shaam shard hawa chalti hai
khak karne se dhuan uthata hai jo dil ka nahin
tere jaane se kuch to badla nahin
raat bhi aayi thi aur chand bhi tha
raat bhi aayi thi aur chand bhi tha
tha magar neend nahin neend nahin
Album : Sunset Point
Lyrics : Gulzar
Singer : Bhupinder
Music : Vishal Bharadwaj

Labels: Gulzar, Sunset Point, Vishal Bharadwaj