Thursday, March 04, 2010

Yeh Zameen Gaa Rahi Hai

yeh zameen gaa rahi hai aasamaan gaa rahaa hai
saath mere ye sara jahaan gaa rahaa hai

shaukh kaliyon ke ghoonghat sarakne lage hain
mast phoolon ke dil bhi dhadakne lage hain
yeh baharon kaa dilakash samaa gaa raha hai
saath mere ye sara jahaan gaa rahaa hai
yeh zameen gaa rahi hai aasamaan gaa rahaa hai
saath mere ye sara jahaan gaa rahaa hai

zhoom kar parabaton pe ghataa chhaa rahi hai
pyaar ki umr shayad kareeb aa rahi hai
meraa dil pyaar ki yeh daastaan gaa rahaa hai
saath mere ye sara jahaan gaa rahaa hai
yeh zameen gaa rahi hai aasamaan gaa rahaa hai
saath mere ye sara jahaan gaa rahaa hai

bhool kar raah koi haseen aa naa jaaye
is jagah koi paradanasheen aa naa jaaye
is jagah aaj ek naujawaan gaa rahaa hai
saath mere ye sara jahaan gaa rahaa hai
yeh zameen gaa rahi hai aasamaan gaa rahaa hai
saath mere ye sara jahaan gaa rahaa hai




Movie : Teri Kasam
Music : R D Burman
Singer : Amit Kumar
Lyrics : Anand Bakshi

Labels: , , ,

1 Comments:

Blogger deepak said...

this is one of my favourite song.This is originally sung by amit kumar but one mr ashutosh also sang this song--he is brilliant. I also love the female voice singing the song.u can watch both the songs-u will love it

11:12 PM  

Post a Comment

<< Home