"Momaa ka purse jaise hospital ki pyaari si koi nurse
Purse mein rakha tissue paper karta hai paseene ka ilaaj
Aur lipstick ho jaise bhookhe honton ka anaaj
Momaa ke purse ka hai makhmali sa sparsh
Momaa ka purse
Momaa ka purse "
"Khatar khun khatar khun khatar khun
Sun mere dil ki dhun
Tere pyaar ki oiling mil gayi isey
Toh khatar khun ka ho jaayega gun gun "
"In the living room of Sarabhai's.........
Hogi Saahil Bhai ki sagaai...........
Agley mahiney...........
Priya Bhabhi phuli na samaai
Yeah Yeah Yeah............... "
"Tum bin jaise mai raaste ka andha bhikhari
Thodi blessings daan me de do
Thodi mamta tumhari
Momma ho momma ho... "
"Ek Common Man Ko Mili He Pari
Jese Chiku Ke saath Ho Strawberry
Aage Aage Mummy Aur Piche Piche Daddy
Jaise Ho Tom And Jerry "
"Ghanan ghanan ghanan ghanan
Badalo se aaye pehla soorya kiran
Datton ke liye danta manjan
Aur pet ke liye kaayam chooran "
"Hawa mein hain khushi ki aroma
Jeet gayi momma, jeet gayi momma
Say hi to happiness n tata to trauma
Jeet gayi momma, jeet gayi momma "
"Lagul lagul lagul lagul
Laal laal lagul lagul JELLY
Jelly ke cabre dancer jaise shareer mein chhupi hai
Anjaani ankahee paheli
jelly hai moma ka mann
Narm mulayam meetha
Pasand hai ise har koi
Sangeeta rita mita aneeta
Jelly giri zameen par
To awaaz aayi PLUP PLUP!
Baccha usme haath maare
To sunai deti hai THUP THUP!
Jelly par kabhi fungus na lage
Uska swaad kabhi bhankas na lage
agar bachani hai hume hamari
country...
TO JELLY KO BANANA HOGA HAMARA PRADHAN MANTRI!!"
"Tumhe samjhe toh mujhe bhi samjhana,
Kyu hai mera jeevan itna khokla,
Jaise koi basi aur sada hua khaman dhokla.... "
"Aasman mein uud raha hai kabutar ....
Aasman mein uud raha hai kabutar ....
FLUTTER ..... FLUTTER..... FLUTTER...... "
"Popat Kaka ki atma ka Popat ud gaya ud gaya ud gaya rey...
Shristey k sajjan haath se popat jud gaya jud gaya jud gaya rey...
"Humpty dumpty sat on the 'gadi'
Gadi pe betha tabhi aa gayi dadi
Dadi ne kaha aaja mere paas
Kyuki gadi pe bethna is just so middle class."
One complimentary poem by
Kachha Kela during poetry session:
Main Lookha Hoon...
Duniya chahe meri puja kare
par, Main lookha hoon...
Bhale meri burayi na koi dooja kare
par, Main lookha hoon...
Mujhe raaj gaadi pe na bithao,
Nahin raja kabhi ban na mujhe,
Mujhe mehngi cheezein nahin chahiye,
Yeh mango lelo, dedo ganna mujhe.
Nahin hawai jahaaz ki god main baithna,
Nahin 5 star boat main mujhe baithna,
Main hoon garib hamesha bina makhan ka,
Rukha sukha hoon,
Mujhe kam hi chahiye sab kuchh,
kyun ke, Main lookha hoon...