Wednesday, February 27, 2008

Jab Nahin Aye The Tum

Jab nahi aaye the tum tab bhi to tum aye the
Aankh mein noor ki aur dil mein lahoo ki soorat
Yaad ki tarah dhadakte huye dil ki soorat

Tum nahin aye abhi phir bhi to tum aye ho
Raat ke seene mein mehtab ke khanzar ki tarah
subaho ke hath mein khursheed ke sagar ki tarah

Tum nahin aaoge jab phir bhi to tum aaoge
Julf-dar-julf bikhar jaega phir raat ka rang
shab-e-tanhayee mein bhi lutf mulaqat ka rang

Aao aane ki kare baat ke tum aye ho
Ab tum aye ho to main kaun si shay nazar karun
Ke mere paas sivaa mehro-wafa kuch bhi nahin
Ek dil ek tamanna ke shiwa kuch bhi nahin


Mehtab: Moon
Khursheed: sun
Lutf: The grace of god

--A song by Jagjit Singh

Labels: , ,

0 Comments:

Post a Comment

<< Home