Sunday, June 20, 2010

Yaad Hai Tumhe ?

It's been ages since I have written anything. I am glad I came out with at least something even if it doesn't satisfy me completely.

yaad hai tumhe
woh jheel ke kinare
ghanto beetana

kabhi baaton mein
kabhi yun hi khamoshi mein
dhalte shaam ko dekhte huye

yaad hai tumhe
woh pani ki ladhai
aur duur pathhar phekne mein
tumhara hamesha jeetna

labon se chhalakati hansi
aankhon se beh jaya karti thi
us manzar ke liye manjoor tha
tumse har baar haar jana

yaad hai tumhe
woh aade teerche chehron ki
pani mein parchhayee banana

kabhi aake dekho
ab bhi tasveerein humari
wohin jami huyi hain..

--Bibhuti

Labels:

Sunday, June 06, 2010

Ya Dil Ki Suno Duniya Waalon

ya dil ki suno duniya waalon
yaa mujh ko abhi chup rehne do
main gham ko khushi kaise keh dun
jo kahte hain unko kahne do

yeh phool chaman mein kaisa khila
maali ki nazar mein pyaar nahin
haste huye kya kya dekh liya
ab behte hain aansoo behne do

ek khwaab khushi ka dekha nahin
dekha jo kabhi to bhool gaye
manga hua tum kuch de na sake
jo tum ne diya woh sahne do

kya dard kisika lega koi
itana to kisi mein dard nahin
bahate huye aansoo aaur bahe
ab aisi tasalli rehne do

ya dil ki suno duniya waalon
yaa mujh ko abhi chup rehne do
main gham ko khushi kaise keh dun
jo kahte hain unko kahne do



Movie : Anupama
Music : Hemant Kumar
Singer: Hemant Kumar
Lyrics: Kaifi Azmi

Labels: ,