Saturday, February 28, 2009

Rehna Tu

A R Rahman might have got Oscar for 'Jai Ho', but this song is even superior to that. Such simple lyrics but so complex composition. Poor bathroom singers like me can't even sing it:). I find it utterly romantic and Prasson Joshi as usual has been superb. What a line: 'Mujhe teri barish mein bheegna hai ghuljana hai'. I can see so much of Gulzar saab in Prasoon's poetry.


Rehna tu
Hai jaisa tu
Thoda sa dard tu
Thoda sukoon

Rehna tu
Hai jaisa tu
Dheema dheema jhonka
Ya phir junoon
Thoda sa resham
Tu humdum
Thoda sa khurdura
Kabhi to add jaye
Ya lad jaye
Ya khushboo se bhara

Tujhe badalna na chahoon
Rati bhar bhi sanam
Bina sajawat milawat
Na jyaada na hi kam

Tuhje chaahoon jaisa hai tu
Mujhe teri barish mein bheegna hai ghuljana hai
Tujhe chaahoon jaisa hai tu
Mujhe tere lapat mein jalna rakh ho jana hai

Tu zakhm de agar
Marham bhi aakar tu lagaaye
Zakhm mein bhi mujhko pyaar aaye

Dariya o dariya
Doobne de mujhe dariya
Doobne de mujhe dariya

Rehna tu
Hai jaisa tu
Thoda sa dard tu
Thoda sukoon

Rehna tu
Hai jaisa tu
Dheema dheema jhonka
Ya phir junoon

Haath tham chalna ho
To dono ke daye haath sang kaise
Haath tham chalna ho
To dono ke daye haath sang kaise

Ek daaya hoga ek baaiya hoga
Tham haath yeh thaam le
Chalna hai sang tham le

Rehna tu
Hai jaisa tu
Thoda sa dard tu
Thoda sukoon

Rehna tu
Hai jaisa tu
Dheema dheema jhonka
Ya phir junoon

Thoda sa resham
Tu humdum
Thoda sa khurdura
Kabhi daud jaye
Ya lad jaye
Ya khushboo se bhara

Tujhe badalna na chahoon
Rati bhar bhi sanam
Bina sajawat milawat
Na jyaada na hi kam

Tuhje chahoon jaisa hai tu
Mujhe teri barish mein bheegna hai ghuljana hai
Tujhe chahoon jaisa hai tu
Mujhe teri lapat mein jalna rakh ho jana hai





Movie : Delhi 6
Music : A R Rahman
Singer : A R Rahman
Lyrics : Prasoon Joshi

Labels: , , ,

Wednesday, February 25, 2009

Busy Mee

A 20-20 match going on between Ind Vs NZ and Bibhuti sees the score when Ind was almost through the innings. Hmmm. Weird but true:( Doesn't sound like normal times.

Busy Me..

Kuch aur hi din hain yeh
Ajnabi se, thode naraaz se

Kaash, kal ka aaj se dushmani ho jaye..

Labels:

Saturday, February 21, 2009

Bhulna

Aur ek subah aaj, raat leke hai ayi
Chubhti chandni ojhal aagosh mein samayi

Phir bhul gaya ki bhulna tha tujhe..

--Bibhuti

Labels: , ,

Wednesday, February 11, 2009

Aadat

Mujhe tumhari aadat si ho gayi hai

Woh aankhon ki baatein
Woh baaton ki raatein
Woh raaton ki sapne
Aur sapno mein tum
Mujhe tumhari aadat si ho gayi hai

Woh jhoot moot ka gussa
Woh gusse mein pyar
Woh pyar bhara dil
Aur dil mein tum
Mujhe tumhari aadat si ho gayi hai

Woh muskata chehra
Woh chehre pe zulfen
Woh zulfon ka badal
Aur badalon mein chand 'tum'
Mujhe tumhari aadat si ho gayi hai

Mujhe zindagi ki aadat si ho gayi hai..

Labels: ,

Sunday, February 08, 2009

It's All "You" in Me


Aise ho shamil mujh mein tum katra katra,
Ke aaina bhi pooche mujhse, "tum kaun ho"?

Kabhi aana tum milne tumse..

Labels:

Saturday, February 07, 2009

Kahin To Milegi

There are some things in life which you just remember. They weren't really unique but you still remember. It can be a a story, a small secret from childhood days, a small fight with your friend which you still laugh about, a scene from a movie or a song.

There was nothing great about the movie 'Milan' directed by Mahesh Bhatt which I would have seen in those DD days, but I still remember it. Check out this beautiful song from that movie.

Kahin to milegi mohabbat ki manzil
Yeh dil ka musafir chala ja raha hoon

Kahin to milegi mohabbat ki manzil
Yeh dil ka musafir chala ja raha hoon

Nazar mein saji hain khayalon ki mehfil
Umeedon ka suraj dhala ja raha hai

Jal ke bujhe, zindagi ki shamaa
Kho jaye din, kya pata kab kahan
Hai yeh kaisi dagar, hai yeh kaisa safar
Na kisi ko pata, ha kisi ko khabar
Hai toofan men kashti, badi door hai sahil
Yeh dil ka musafir chala ja raha hai

Pal na ruke, ek pal ke liye
Jeeta rahe pyaar, kal ke liye
Kare koi sitam, mile koi saza
Dil bhoole nahin, kabhi pehli wafa
Jo haare na himmat, kare sab woh haasil
Yeh dil ka musafir chala ja raha hai

Kahin to Milegi mohabbat ki manzil
Yeh dil ka musafir chala ja raha hai





Movie : Milan
Singer : Abhijeet
Music : Anand Milind


Labels: , ,

Monday, February 02, 2009

What am I upto lately ?

No new song posted lately. No new piece of poetry discovered. Nothing original written. So what am I upto these days?

  • Relatively busy
  • Listening to Sawaariya
  • Watched Slumdog Millionaire
  • Heartbroken at Federer's loss
  • Watching Cricket albeit with less zeal
  • Keep updating my other blog Adoholik
  • Have been liking these lines again and again

"Kuch sawalon ke jawab nahin hote."

"Woh der se pahuncha tha lekin waqt par pahuncha."

"Coffee bhi baiman cheez hai, woh dekhti hai use pine wala kaun hai.
Us hisab se banti hai."

"Tumhare gham ki dali utha kar zabaan pe rakh li hai dekho maine.
Ye katra katra pighal rahi hai, main katra katra hi jee raha hoon."

Labels: