Thursday, May 29, 2008

Jab Se Tune Mujhe Deewana Bana Rakha Hai

Aap gairon ki baat karte hain
Humne apne bhi aajmaye hain
Log kanton se bach ke chalte hain
Humne phholon se jakhm khaye hain

Kisika ka kya jo kadmo par jab ine bandagi rakhdi
Hamari cheez thi humne jahan jani wahan rakhdi

Jo dil manga ki woh bole ke thairo yaad karne do
Jara si cheez thi humne khuda jane kahan rakhdi

Sang har shakhs ne haathon mein utha rakha hai
Jab se tu ne mujhe deewana bana rakha hai

Aa piya more nainan mein
Main palak dhanp tohe yun
Na main dekhu aur ko na tohe dekhan du

Us ke dil par bhi kadi ishq mein guzree hogee
Naam jis ne bhi mohabbat ka saza rakha hai

Tulsi aisi preet na kar jasi lambi khajoor
Dhoop lage to chhaon nahin bhook lage to phal duur

Duniya badi baawari pathhar pujne jaye
Ghar ki chakki koi na puje jiska pisa khaye
Pathharon aaj mere sar par baraste kyon ho
Main ne tum ko bhi kabhi apna khuda rakha hai

Pritam hum tum ek hain kahan sun do
Man se man toliye to maan kabir hoye
Kajal garun kirkara surma saha na jaye
Jin nainan base duja ko na samaye

Sadhu bhuka bhao ka dhan ka bhuka nahin
Dhan ka bhuka jo phire so woh sadhu nahin
Main ajab yeh rasm dekhi ke baroje iid qurban
Wohi jibha bhi kare hain wohi le shabab ulta

Pee ja ayyam ki talkhi ko bhi hans kar naasir
Ghum ko sahne mein bhi qudrat ne maza rakha hai



--A song by Abida Parveen

Labels:

Tuesday, May 27, 2008

Naya Khuda

Har pal teri ibadat har pal tera hi jashan hai
Kashi kaaba main na jaanu tu hi meri quaran hai

Dharam badal gaya hai mera tere pyar mein..

--Bibhuti

Labels: ,

Khoya Khoya Chand

Khoya khoya chand rehta hai aasmaan ke paas
Khoye khoye hum bhi rehte hain is jahaan ke paas
Khoya khoya kyoon rehta hai aaj kal yeh dil
Tum to meri jaan samajhte ho kya meri mushkil
Saari saari raat jaagoon main chandni ke saath
Bas mein nahin hai aaj kal yeh mere jazbaat
Keh do naa, keh do naa, keh do naa pyaar hai

Dekhta hun sirf tum ko tum nigahon mein basi ho
Chahta hun sirf tumko tum to meri ashiqui ho
Dhadkanon ki yeh sada hai, aake seene mein chhupalo
Yaar meri baat maano, betaabiyon ko badhaalo
Saari saari raat jaagoon main chandni ke saath
Bas mein nahin hai aaj kal yeh mere jazbaat
Keh do naa, keh do naa, keh do naa pyaar hai

Kya bataaoon haal mera, aag saanson mein lagi hai
Jal rahi hoon har ghadi main, yeh pyaas kaisi jagi hai
Mar gaya pehli hi nazar mein, main tumhari is shadgi pe
Dekho aise shak karo na, tum meri deewangi pe
Saari saari raat jaagoon main chandni ke saath
Bas mein nahin hai aaj kal yeh mere jazbaat
Keh do naa, keh do naa, keh do naa pyaar hai

Khoya khoya chand rehta hai aasmaan ke paas
Khoye khoye hum bhi rehte hain is jahaan ke paas
Khoya khoya kyoon rehta hai aaj kal yeh dil
Tum to meri jaan samajhte ho kya meri mushkil
Saari saari raat jaagoon main chandni ke saath
Bas mein nahin hai aaj kal yeh mere jazbaat
Keh do naa, keh do naa, keh do naa pyaar hai





Album : Khoya Khoya Chand
Singers : Babul Surpiyo & Alka Yagnik

Labels: , , ,

Monday, May 26, 2008

Abhi Nahin Aana Sajana

Abhi Nahi Aana Sajana
Mohe Thoda Marne De
Intezar Karne De
Abhi Nahin Aana Sajana

Bhejiyo Sandesha
Aap Nahin Aana
Thode Door Rahke
Mohe Tarsana
Abhi To Mein Chahun, Sari Sari Raat Jagana
Abhi Nahi Anna Sajana

Ruk Ruk Aana
Dheere Dheere Chalna
Bhoolna Dagaria, Raste Badalna
Nahi Abhi Mohe,Garwa Nahi Hey Lagna

Abhi Na Jagaoh
Bane Raho Sapna
Abhi San-Mukh Na Lawo Mukh Apna
Abhi To Mein Chahun, Aass Lagaye Rakhna.



--A song by Sona Mohapatra

Labels: , ,

Monday, May 12, 2008

Chand Ki Parchhayee

Ho pani ka ghar mera aur pani ka aangan,
Chand ki parchhayee se honge woh roshan

Aaj phir ana tum khidki pe..

--Bibhuti

Labels: ,

Thursday, May 08, 2008

Nasha

Phoolon ka jhoota guroor toota,
Bhanwaron ne naya suroor loota.

Sehma chand soche kahin raat ko na niklo tum.

--Bibhuti

Labels: ,

Monday, May 05, 2008

Dreams

It has been a while since I last remembered my dream. Probably others were not powerful dreams as the last one few days back. Let me share two of my high profile dreams:)

1. Sachin and Warne were not alone when Sir Don Bradman had invited them to his house. Yours truly also graced the occasion and got the autograph of Sir Don.

2. Steffi Graph and I used to play tennis together.

Huh!! How are these for dreams ?

--Bibhuti