Thursday, May 29, 2008

Jab Se Tune Mujhe Deewana Bana Rakha Hai

Aap gairon ki baat karte hain
Humne apne bhi aajmaye hain
Log kanton se bach ke chalte hain
Humne phholon se jakhm khaye hain

Kisika ka kya jo kadmo par jab ine bandagi rakhdi
Hamari cheez thi humne jahan jani wahan rakhdi

Jo dil manga ki woh bole ke thairo yaad karne do
Jara si cheez thi humne khuda jane kahan rakhdi

Sang har shakhs ne haathon mein utha rakha hai
Jab se tu ne mujhe deewana bana rakha hai

Aa piya more nainan mein
Main palak dhanp tohe yun
Na main dekhu aur ko na tohe dekhan du

Us ke dil par bhi kadi ishq mein guzree hogee
Naam jis ne bhi mohabbat ka saza rakha hai

Tulsi aisi preet na kar jasi lambi khajoor
Dhoop lage to chhaon nahin bhook lage to phal duur

Duniya badi baawari pathhar pujne jaye
Ghar ki chakki koi na puje jiska pisa khaye
Pathharon aaj mere sar par baraste kyon ho
Main ne tum ko bhi kabhi apna khuda rakha hai

Pritam hum tum ek hain kahan sun do
Man se man toliye to maan kabir hoye
Kajal garun kirkara surma saha na jaye
Jin nainan base duja ko na samaye

Sadhu bhuka bhao ka dhan ka bhuka nahin
Dhan ka bhuka jo phire so woh sadhu nahin
Main ajab yeh rasm dekhi ke baroje iid qurban
Wohi jibha bhi kare hain wohi le shabab ulta

Pee ja ayyam ki talkhi ko bhi hans kar naasir
Ghum ko sahne mein bhi qudrat ne maza rakha hai



--A song by Abida Parveen

Labels:

0 Comments:

Post a Comment

<< Home