Tuesday, November 20, 2007

Ab To Hai Tum Se

Ab to hai tum se, har khushi apni
Tum pe marna hai, jindagi apni

Jab ho gaya tum pe, ye dil deewana
Fir chahe jo bhi kahe, hum ko jamana
Koee banaye baaten, chaahe ab jitnee

Tere pyaar mein badanam door door ho gaye
Tere saath hum bhi sanam mashahoor ho gaye
Dekho kahan le jaaye, bekhudi apni

Ab to hai tum se, har khushi apni
Tum pe marna hai, jindagi apni





Movie : Abhimaan
Music : Sacindev Burman
Singer: Lata Mangeshkar
Lyrics: Majrooh Sultanpuri

Labels: , , ,

Saturday, November 17, 2007

Tum Humain Chaho Ya Na Chaho

Just came across this beautiful piece of poetry and composition. Seems to be a rare song as I could not find the name of lyricist. But whoever he is, he must have been heart broken else could't have translated such feelings on paper. Straight from heart..


Tum humain chaho ya na chaho ye preet na hogi kum
Tum humain chaho ya na chaho ye preet na hogi kum

Jal jal kar is aag mein umr bhar intezar karenge hum
Yeh preet na hogi kum yeh preet na hogi kum

Tum humain chaho ya na chaho..

Mohabbat tabahi ke sibah kuch nahin
Roklo in badhte hue kadmo ko na behek na jaun kahin
Soyee huyee in hasraton ko kyon jagaya tumne
Veeran tha mera dil kyon isme ghar basaya tumne

Tum humain chaho ya na chaho ye preet na hogi kum
Tum humain chaho ya na chaho ye preet na hogi kum

Jaj jal is aag mein umr bhar intezar karenge hum
Yeh preet na hogi kum yeh preet na hogi kum

Tum humain chaho ya na chaho..

Shayad kuch kami thi hum mein tum gairo ke ho gaye
Mehal banaye jo sapno ke jane kahan sab kho gaye

Ab woh sawan aye na aye umr bhar intezar karenge hum
Yeh preet na hogi kum yeh preet na hogi kum

Tum humain chao ya na chaho
Yeh preet na hogi kum yeh preet na hogi kum

Tum humain chao ya na chaho...

Mana ke mohabbat ki rahein kathin hai
In raho mein talkhiyan hi talkhiyan hai

Kaise gawara karun ki dil ho aur dhadkan mein tum nahin
Koi gham nahin pyar karna jurm hai to jurm sahi

Humain saza de chahe zamana jurm yeh bar bar karenge hum

Yeh preet na hogi kum yeh preet na hogi kum

Tum humain chao ya na chaho...

Preet nadani aur hawas ke siba kuch nahin
Andha hota hai pyar iski to ankhen hi nahin
Dekh dekh hazaron beh jate hain is badh mein
Preet ek khubsoorat bhul ke sibah kuch bhi nahin
khubsoorat kwhabon ko haqueeqat samajh na bhole sanam
Yeh toot jaenge to zindagi bhar na chhodega yeh gham

Tum humain chaho ya na chaho
yeh preet na hogi kum yeh preet na hogi kum
Tum humain chao ya na chaho..

Intezar mein tere fanaa ho gaye to gham nahin
Mohabbat teri na mile nafrat hi mile to kum nahin
Asoon bhi mere dua denge tujhko mere sanam
zakhmo ke tere lagake sine se jee lenge hum
Ab to natiza kuch bhi nikle tumse pyar tumsee pyar karenge hum
Yeh preet na hogi kum yeh preet na hogi kum

Tum humain chao ya na chaho
yeh preet na hogi kum
yeh preet na hogi kum
yeh preet na hogi kum



Movie : Yeh Preet Na Hogi Kum
Music Director : Ravi Shanker
Singers : Ravi,Mahendra Kapoor and Jayashree

Labels: ,

Wednesday, November 14, 2007

Ankhiyon Ke Jharokon Se

Ankhiyo ke jharokon se maine dekha jo sanwre
Tum door nazar aaye badi door nazar aaye

Bandh karke jharoko ko zara behki jo soch mein
Man mein tumhi muskaaye man mein tumhi muskaaye

Ek man tha mere paas wo ab khone laga hai
Pakar tujhe haye mujhe kuch hone laga hai

Ek tere bharose pe sab baithi hu bhoolke
Yoohi umr guzar jaye tere sath guzar jaye

Jeeti hu tumhe dekhke martee hu tumhee pe
Tum ho jaha saajan meri duniya hai wohi pe

Din raat dua maangi mera man tere waaste
Kahi apni umeedo kaa koi phool na murjhaye

Main jab se tere pyaar ke rango mein rangee hun
Jagte hue soyee rahee neendo mein jagee hun

Mere pyaar bhare sapne kahin koi na cheen le
Man sochke ghabraaye yahi sochke ghabraaye




Beauty lies in simplicity. Simple,nice and melodious song.

-- Title Song from movie "Ankhiyon Ke Jharokon Se"

Labels: , ,