Wednesday, November 14, 2007

Ankhiyon Ke Jharokon Se

Ankhiyo ke jharokon se maine dekha jo sanwre
Tum door nazar aaye badi door nazar aaye

Bandh karke jharoko ko zara behki jo soch mein
Man mein tumhi muskaaye man mein tumhi muskaaye

Ek man tha mere paas wo ab khone laga hai
Pakar tujhe haye mujhe kuch hone laga hai

Ek tere bharose pe sab baithi hu bhoolke
Yoohi umr guzar jaye tere sath guzar jaye

Jeeti hu tumhe dekhke martee hu tumhee pe
Tum ho jaha saajan meri duniya hai wohi pe

Din raat dua maangi mera man tere waaste
Kahi apni umeedo kaa koi phool na murjhaye

Main jab se tere pyaar ke rango mein rangee hun
Jagte hue soyee rahee neendo mein jagee hun

Mere pyaar bhare sapne kahin koi na cheen le
Man sochke ghabraaye yahi sochke ghabraaye




Beauty lies in simplicity. Simple,nice and melodious song.

-- Title Song from movie "Ankhiyon Ke Jharokon Se"

Labels: , ,

0 Comments:

Post a Comment

<< Home