Saturday, October 13, 2007

Kabhi To Nazar Milao

Kabhi to nazar milao, kabhi to kareeb aao
Jo nahin kaha hai kabhi to samajh bhi jaao
Hum bhi to hai tumhaare deewane ho deewane

Humne tumko dekhte hi dil diya
Tum bhi socho tumne humse kya kiya
Tumne kya kiya, kya kiya
Mera dil na todo, kabhi dil se dil milaa lo
Hum bhi to hai tumhaare deewane ho deewane

Dil yeh chaahe teri zulfein choom loon
Sochta hoon aur tumse kya kahoon
Tumse kya kahoon, kya kahoon
Koi faislaa do, kabhi to gale lagaao
Hum bhi to hai tumhaare deewane ho deewane

Kabhi to nazar milao, kabhi to kareeb aao
Jo nahin kaha hai kabhi to samajh bhi jaao

Hum bhi to hai tumhaare deewane ho deewane
Tumhaare deewane, deewane, deewane
Deewane, tumhaare deewane, deewane
Hum bhi to hai tumhaare deewane ho deewane



--Adnan Sami and Asha Bhosle

Labels: , , , ,

Tuesday, October 09, 2007

Phoonk De

Peele peele se jungle mein rehta dhuaan
Peele peele se jungle mein behta dhuaan

Ghoonth ghoonth jal raha hoon pee raha hoon pattiyaan
Aankhein hain dhuaan dhuaan nam hain saari battiyaan

Aas paas kuch nahi jee udaas hai zara
Dard sabz hai abhi mujhko raas hai jara

To phoonk de re phoonk de…..
Phoonk de re….

Hayaat phoonk de
Hawaas phoonk de

Saans se sila hua libaas phoonk de

Sar chhadi hai khumaari
Aur zameen dolti hai
Bezubaan dastaan ye
Raat bhar bolti hai

Phoonk de ye raat
Phoonk de ye raakh
Phoonk de wo baat

Jab nasha toot ta hai
Kitne tukde gire hain
Hosh chunle lage hain hum
Hum bhi kya sarfire hain

Lab pe jal rahi hai
Wo baat phoonk de
Hothon se raat ki ye raakh phoonk de

Saans se sila hua libaas phoonk de

Hawaas - Senses
Hayaat - Existence
Khumaari - Intoxication

-- A song from 'No Smoking'

Labels: , ,