Thursday, August 30, 2007

Baatein Kuch Ankahee Si

baatein kuchh ankahee si, kuchh ansuni si hone lagi
kaabu dil pe raha na, hasti hamaari khone lagi

shaayad yahi hai pyaar

keh de mujhse dil mein kya hai, aisa bhi kya guroor
tujhko bhi toh ho raha hai thoda asar jaroor
yeh khaamoshi jine na de, koi toh baat ho

shaayad yahi hai pyaar

tu hi meri roshni hai, tu hi chiraag hai
dheere dheere mit jaayega, halka sa daag hai
yeh zeher bhi yun piya hai, jaise sharaab ho

shaayad yahi hai pyaar

baatein kuchh ankahee si, kuchh ansuni si hone lagi
kaabu dil pe raha na, hasti hamaari khone lagi

shaayad yahi hai pyaar

Tuesday, August 28, 2007

Tere Bina Jiya jaye Na

One of my all time favoutite song. Lyrics by Gulzar, music by Pancham da and sung by Lata. Can the combination be better ?

tere bina jiya jaaye na
bin tere tere bin saajana
saans mein saans
aaye na

jab bhi kayaalon mein tuu aaye
mere badan se kushbuu aaye
mahake badan mein raha na jaaye
raha jaaye na

reshami raatein roz na hongi
ye saugaatein roz na hongi
zindagi tujh bin raas na aaye
raas aaye na


Monday, August 27, 2007

Tere Ane Ki Jab Khabar Mehke

tere aane ki jab khabar mehke
teri khushboo se saara ghar mehke

shaam mehke tere tasavvur se
shaam ke baad fir saHer mehke

raat bhar sochta raha tuJhko
zehno-dil mere raat bhar mehke

yaad aaye to dil munnawar ho
deed ho jaaye to nazar mehke

wo ghaDi do ghaDi jahaan baithe
wo zamiN mehke wo saher mehke


-- A song from 'Saher'

Friday, August 24, 2007

Maula Mere Le Le Meri Jaan

tija tera rang tha main toh
jiyaan tere dhang se main toh, tu hi tha maula tu hi aan
maula mere le le meri jaan

tere sang kheli holi, tere sang ki diwaali
tere angano ki chhaaya, tere sang saawan aaya
pher le tu chaahe nazarein, chaahe chura lein
laut ke tu aayega re shart laga le
bhiga/tija tera rang tha main toh
jiyaan tere dhang se main toh, tu hi tha maula tu hi aan
maula mere le le meri jaan

mitti meri thi bhuri, wahi mere ghi aur churi
wahi raanjhe mere woh heer, wahi sevaiya, wahi khir
tujhse hi ruthana re, tujhe hi manaana
tera mera naata koi duja na jaana
tija tera rang tha main toh
jiyaan tere dhang se main toh, tu hi tha maula tu hi aan
maula mere le le meri jaan

-- A song from 'Chakde India'

Friday, August 17, 2007

Aye Bekhabar

Ae bekhabar, ae bekhabar, ae bakhabar, ae bekhabar

Mera dil tere pyaar mein aahe bhare
Ae bekhabar, ae bekhabar
Tujhe yaad kare fariyad kare
Ae bekhabar, ae bekhabar
Kabhi tu bhi pyaar se dekh zara mere dil ko ek nazar

Ae bekhabar, ae bekhabar, ae bakhabar, ae bekhabar


Tujhe pata kya ke mere dil mein
Hai tere khaatir junoon kitna
Main apne baare mein ruk ke sochoon
Nahin hai ab to sakoon itna
Jeeta hoon magar jeeta bhi nahin
Marta hoon magar marta bhi nahin
Tere gham ne panahon ne ke liye
Peeta hoon main zeher

Ae bekhabar, ae bekhabar, ae bakhabar, ae bekhabar


Daba huwa tha jo mere seene mein
Jo tujhko dekha to dard ughra
Kisi bhi marham se bhar na paaya
Teri judaai ka zakhm gehra
Seene mein pyaar machalta hai
Aakhon se dard chalakta hai
Saahil ki tarah kaante mujhko
Chaahat ki har leher

Ae bekhabar, ae bekhabar, ae bakhabar, ae bekhabar


Mera dil tere pyaar mein aahe bhare
Ae bekhabar, ae bekhabar
Tujhe yaad kare par yaad kare
Ae bekhabar, ae bekhabar
Mera dil tere pyaar mein aahe bhare
Tujhe yaad kare par yaad kare
Kabhi tu bhi pyaar se dekh zara mere dil ko ek nazar

-- A song from 'Zeher'

Tuesday, August 14, 2007

Talash

Na dekha hai abhi tak use
Phir bhi usika talash hai
Kahin to hogi,kabhi to milegi
Dil ko yeh ehsas hai

Chand dekhe to sharma jaye
Aisi hogi woh haseen
Usko bhi hoga mera intezar
Hai iska mere dilko yakeen

--Bibhuti

Labels:

Dil Mein Ho Tum

dil mein ho tum, aankhon mein tum
bolo tumhe kaise chahun
pujaa karun, sajda karun
jaise kaho vaise chahuu

jaanuu, merii jaanuu, jaane, jaana jaanuu

akela huu main akela
tumhe phir dil ne pukara
tumhari yaadein sataye
nahin hai koi hamara
duniya ke Gam, sahta hun main
biraha ke Gam, sah naa paau

jaanuu, merii jaanuu, jaane,jaana jaanuu

hamesha dekha yahi hai
milana ke sang hai judai
shayad vo hoga diwana
chahat hai jisne banai
chaahe jalu, chaahe maru
phir bhi tere gun mein gaau

jaanuu merii jaanuuu, jaane,jaana jaanuu

dil mein ho tum, aankhon mein tum
bolo tumhe kaise chahu
puja karu, sajda karu
jaise kaho vaise chaahuu

jaanuu merii jaanuu, jaane,jaana jaanuuuu

English Translation:

You're in my heart, you're in my eyes
Tell me how to love you.
Should i worship you, should i pray for you
I'll love you however you want me to

Love, my love, whether i know or not..

Alone, I am alone,
My heart is caling out to you again
Your thoughts torment me
Nobody is mine (I have nobody)
The world's sadness, I take in my stride (I put up with it)
The sadness of separation, i cannot take

Love, my love, whether i know it or not..

I've always seen
With togetherness comes separation
Maybe He is a crazy lover,
The one who made love.
Whether i burn, or i die,
I will still sing of your qualities

Love, my love, whether i know it or not..

You are in my heart, you are in my eyes
Tell me how to love you
Should i worship you or pray for you
I'll love you however you tell me to

Love, my love, whether i know it or not..



-- A song from movie 'Satyameva Jayate'

Labels: , , ,

Thursday, August 09, 2007

Mast Nazron Se

Mast Nazron Se Allah Bachae
Mahjamalon Se Allah Bachae
Her Bala Sir Peh Aa Jaye Laikin
Husn Waloon Se Allah Bachae

Inki Masomiat Per Na Jana
Inke Dhokay Mein Hargiz Na Aana
Loot Laitay Hein Yeah Muskara Ker
Inki Chaalon Se Allah Bachae

Bholi Surat Hai Baatein Hein Bholi
Moon Mein Kuch Hai Magar Dil Mein Kuch Hai
Laakh Chehra Saheeh Chaand Jaisa
Dil Ke Taalon Se Allah Bachae

Dil Mein Hai Khuwahish E Hoor O Jannat
Aur Zahir Mein Shouq E Ibadat
Bus Hamein Shaikh Ji Aap Jaise
Allah Waloon Say Allah Bachae

Inki Fitrat Mein Hai Bewafaii
Janti Hai Yeh Sari Khudaii
Ache Achoon Ko Daite Hein Dhoka
Bhole Bhaloon Se Allah Bachae

Mast Mazron Se Allah Bachae
Maah Jamaloon Se Allah Bachae

--Nusrat Fateh Ali Khan