Sunday, July 29, 2007

Udan

Kal badlon se takra gaya main
Tumhare khayalon mein jo khoya tha

Zameen pe paon kahan lagte hain ab mere

--Bibhuti

Labels: ,

Thursday, July 26, 2007

Aankhen

jab se ayee ho jeevan mein
har pal ek khwab lagta hai

yeh aasman chhu lunga main
jane kyon aisa lagta hai

yeh haseen aankhen teri
yeh jhuki jhuki si plke yeh shadgi

jab se dil mein samayee ho
har su tumhi dikhayee ho

yeh tare tod laun main
jane kyon aisa lagta hai

yeh shama phir ho kahan
yeh fiza yeh din aur pal yeh dastan

meri aankhon mein dekho main tumhara ho gaya
mere jeevan ka har pal bas tumhara ho gaya

yeh iftada hai itna mujhko hai yakeen
koi rok na paega ud jaye hum kahin


--Song by band 'Aaroh'

Monday, July 23, 2007

Lamha Lamha

Lamha lamha mera mujhse akhtiyar kho raha hai
Katra katra mera tere rang mein dhal raha hai

--Bibhuti

Friday, July 20, 2007

Neend

Kal tak tum bas ek khayal thi
Aaj tum sach hua ek sapna

Mujhe is neend mein hi rahne do

Labels: ,

Wednesday, July 18, 2007

Intezar

Din to gujar jate hain
Par raton ka kya karein
Har ek pal sadiyan ho jate hain
Tere ane ki intezar mein

Sooraj ake chala gaya
Chand tarein bhi sath chhod gaye
Ginti ke liye tarein kam ho gaye
Tere ane ki intezar mein

--Bibhuti

Monday, July 16, 2007

Iltaza

Thaire pani mein kankar de mare
Thoda aankhon pe kabu to kije

Khamosh samandar mein toofan le aye
Chehra chandni pe parda to kije

Sapno se kya ranjish hai aap ki
Do ghadi ki neend ki ijajat to dije

Dard-e-dil ka dawa na sahi,
Qatlon ke fairist mein
Humara naam darz to kije

--Bibhuti

Labels:

Wednesday, July 11, 2007

Kabir Again..

Ankhiyan To Chhayee Pari,
Panth Nihari Nihari
Jihadiyan Chhaala Parya,
Naam Pukari Pukari
Birha Kamandal Kar Liye,
Bairagi Do Nain
Mange Daras Madhukari,
Chhake Rahe Din Rain
Sub Rung Tanti Rabaab Tan,
Birha Bajave Nit
Aur Na Koyee Sun Sake,
Kea Sayeen Ke Chit

Translation:

My eyes have developed black spots
Watching the path whence you may come
Blistered has become my tongue
chanting away your name
Separation pangs fill my begging bowl
Void is all in the two eyes
Anxious for only a glimpse delight
Waiting patiently day and night
All colors mitigate and moan
Discontent is the painful song
None else can hear this cry
Unless you, my Love, will

--Kabir

Labels: