Waqt ki aankh pe patti bandh ke
Chor sipahi khel rahe the
Raat aur din aur chand aur main
Jane kaise is gardish mein atka paun,
Dur gira ja kar main jaise,
Rosniyon ke dhakke se
Parchhai jameen par girtee hai
Dhaiyya chhune se pehele hi
Waqt ne chor kaha aur aankhen khol ke
Mujhko pakad liya
-- Gulzar
Labels: Gulzar, Poetry