Wednesday, September 19, 2007

Kaun Kehta Hai

Kaun kehta hai mohabbat ki zuban hoti hain…
Yeh haqeeqat to nigahon se bayan hoti hain

Woh na aaye tou satati hai khalish see dil ko…
Woh jo aaye to khalish aur jawan hoti hain

Rooh ko shaad karey dil ko jo purnoor karey…
Har nazaaray mein yeh tanveer kahan hoti hain

Sabt-e-saelaab-e-mohabbat ko kahan tak rokay…
Dil mein jo baat ho aankho se ayaan hoti hain

Zindagi ek sulgati see chita hai `Sahir’…
Shola banti hain na yeh bhuj ke dhuaan hoti hain

Kaun kehta hai mohabbat ki zuban hoti hain
Yeh haqeeqat to nikhaon say bayan hoti hain

-- Jagjit Singh

Labels: , , , ,

Monday, September 17, 2007

Katra Katra - Apna Asman

Sukhwinder Singh is one of the most talented singers in India. But unfortunately not many music directors use him. Rahman is the only one who gives opportunity to him. Here is the latest song by Sukhwinder from Apna Aasman.


katra katra udkar sagar
Badal banta hai
Lukchhup karta jugnu rasta
Roshan karta hai

Kar aisa kuch yahan
Yeh tera hai jahan
Chal jeet le duniya re

katra katra udkar sagar
Badal banta hai
Lukchhup karta jugnu rasta
Roshan karta hai

O bandhu re
Boond boond megha barse
bhar jaye dariya
choti choti akhiyan hi
Dikhaye yeh duniya

Kar aisa kuch yahan
Yeh tera hai jahan
Chal jeet le duniya re

O bandhu re
Dana mile mati mein to
Pedh ban jaye
Chhayon bhi de
Phal bhi de
Kaisa tan jaye

ho Chhayon bhi de
Phal bhi de
Kaisa tan jaye

Kar aisa kuch yahan
Yeh tera hai jahan
Chal jeet le duniya re

O bandhu re

Labels: , ,

Wednesday, September 05, 2007

Jab Kabhi Tera Naam Lete Hain

jab kabhi tera naam lete hain
dil se hum inteqam lete hain

merii barbadiyon ke afasane
mere yaaron kaa naam lete hain

bas yahi ek jurm hai apna
ham muhabbat se kaam lete hain

har qadam par gire magar sikha
kaise giraton ko tham lete hain

hum bhatak kar junoon ki rahon mein
aql se intaqam lete hain

-- A ghazal written by 'Sardar Anjum' from album 'An Evening With Jagjit Singh'

Labels: ,

Tuesday, September 04, 2007

Seene Mein Jalan

I was watching 'Sarabhai Vs Sarabhai' today and Indrabadan sang the line 'Seene mein jalan ankhon mein toofan sa kyun hai' teasing Maya. It struck me instantly and google as usual helped me to find this beautiful song written by Shahryar from movie 'Gaman' . How can someone write so beautiful lines ?

Seene mein jalan aankhon mein toofan sa kyun hai
Is shaher mein har shaks pareshaan sa kyun hai

Dil hai toh dhadakne ka bahana koi dhoonde
Pathhar ki tarah behis-o-bejaan sa kyun hai

Tanhaai ki ye kounsi manzil, rafeekon
Ta-hadd-e-nazar ek bayabaan sa kyun hai

Kya koi nayi baat nazar aati hai hum mein
Aaina humein dekh ke hairaan sa kyun hai

Rafeekon : Friends
Beyaabaan : Forest, Jungle, without any sign of life
Behis-o-Bejaan : Senseless and Lifeless, Dead
Ta-Hadd-e-Nazar : Upto the limit of my sight




-- A song from 'Gaman'

Saturday, September 01, 2007

Chup Chaap

Chup Chaap Chup Chaap Chup Chaap
Chup Chaap Karti Hai Baatein Jab Teri Yeh Khamoshiyan
Chup Chaap Sunte Hai Dil Ki Halki Halki Sargoshiyan
Chup Chaap Chup Chaap Chup Chaap

Chup Chaap Karti Hai Baatein Jab Teri Yeh Khamoshiyan
Chup Chaap Sunte Hai Dil Ki Halki Halki Sargoshiyan
Bechain Si Har Saas Hain Anjaana Sa Ehsaas Hai
Chup Chaap Karti Hai Baatein Jab Teri Yeh Khamoshiyan
Chup Chaap Sunte Hai Dil Ki Halki Halki Sargoshiyan
Bechain Si Har Saas Hain Anjaana Sa Ehsaas Hai
Chup Chaap

Bekhudi Si Kya Hai Har Lamha Thehra Hai
Kitni Mudat Se Koyi Khwaab Na Koyi Dekha Hai
Bekhudi Si Kya Hai Har Lamha Thehra Hai
Kitni Mudat Se Koyi Khwaab Na Koyi Dekha Hai

Chup Chaap Jo Nazrein Tumhaari Barsaye Behoshiyaan
Chup Chaap Jo Nazrein Tumhaari Barsaye Behoshiyaan
Chup Chap Behkhudi Mein Hum Bhool Aaye Do Jahan
Bechain Si Har Saas Hain Anjaana Sa Ehsaas Hai
Chup Chaap

Bheed Mein Tanha Hai Khud Pe Hum Hairaan Hai
Bewajah Muskuraaye Dil Deewana Mera
Bheed Mein Tanha Hai Khud Pe Hum Hairaan Hai
Bewajah Muskuraaye Dil Deewana Mera

Chup Chaap Hi Khulne Lagi Hai Ab Saari Majburiyan
Chup Chaap Hi Khulne Lagi Hai Ab Saari Majburiyan
Chup Chap Kam Huvi Hamare Dil Se Dil Ki Dooriyan
Bechain Si Har Saas Hain Anjaana Sa Ehsaas Hai

Chup Chaap Karti Hai Baatein Jab Teri Yeh Khamoshiyan
Chup Chaap Sunte Hai Dil Ki Halki Halki Sargoshiyan
Bechain Si Har Saas Hain Anjaana Sa Ehsaas Hai
Chup Chaap

-- A song from 'Chhal'