Baadalon Se Kaat Kaat Ke
Words fail me to describe the genius of Gulzar. Such imaginative yet beautiful thoughts, song after song, is amazing. Vishal Bharadwaj and A R Rehman are two contemporary composers who do justice to the poetry of the master. Great song.
Baadalon se kaat kaat ke
Kaagazon pe naam jodna
Yeh mujhe kya ho gaya?
Doriyon se baandh baandh ke
Raat bhar chaand todna
Yeh mujhe kya ho gaya?
Ek baar tumko jab
Baraste paaniyon ke paar dekha tha
Yun laga tha jaise
Gungunaata ek absaar dekha tha
Tabse meri neend mein barasti rehti ho
Bolti bahut ho aur hasti rehti ho
Jo tujhe jaanta na ho us-se tera naam poochna
Yeh mujhe kya ho gaya?
Dekho yun khule badan tum
Gulaabi saahilon pe aaya naa karo tum
Namak bhare samundaron mein yun
Is tarah nahaya na karo
Sara din chandni si chhaayi rehti hai
Aur gulabi dhoop baukhlai Rehti Hai
Jaamno ki naram daal pe
Naakhoon se naam khodna
Yeh mujhe kya ho gaya?
Movie : Satya
Lyrics: Gulzar
Singer: Bhupinder
Music : Vishal Bharadwaj
Baadalon se kaat kaat ke
Kaagazon pe naam jodna
Yeh mujhe kya ho gaya?
Doriyon se baandh baandh ke
Raat bhar chaand todna
Yeh mujhe kya ho gaya?
Ek baar tumko jab
Baraste paaniyon ke paar dekha tha
Yun laga tha jaise
Gungunaata ek absaar dekha tha
Tabse meri neend mein barasti rehti ho
Bolti bahut ho aur hasti rehti ho
Jo tujhe jaanta na ho us-se tera naam poochna
Yeh mujhe kya ho gaya?
Dekho yun khule badan tum
Gulaabi saahilon pe aaya naa karo tum
Namak bhare samundaron mein yun
Is tarah nahaya na karo
Sara din chandni si chhaayi rehti hai
Aur gulabi dhoop baukhlai Rehti Hai
Jaamno ki naram daal pe
Naakhoon se naam khodna
Yeh mujhe kya ho gaya?
Movie : Satya
Lyrics: Gulzar
Singer: Bhupinder
Music : Vishal Bharadwaj
Labels: Bhupinder, Gulzar, Lyrics, Romantic, Song, Vishal Bharadwaj
0 Comments:
Post a Comment
<< Home