Wednesday, September 03, 2008

Zindagi

Aye zindagi
Main tujh se haar nahin maanunga
Mujhe pata hai
Tu mere sath khel rahi hai saanp-siddhi
Aaj daao teri hai
Main kuch fisla jaroor hun
Hara nahin
Kal baaji meri hogi
Main tujhe hathon se fisalne nahin dunga


Aye zindagi
Main tujh se haar nahin maanunga
Mujhe pata hai
Tu ruthi hui hai jhoot moot ki
Main jo waqt nahin bitaye tumpe
Sajane sawarne mein
Woh sab lautaunga suud ke sath
Ab muskura bhi do
Main tujhe aur kabhi ruthne nahin dunga


Aye zindagi
Main tujh se haar nahin maanunga
Mujhe pata hai
Tu thodi si bechain hai
Tere mathe pe yeh shikan
Mere ghamon ki wajah se hai
Ab to yeh faisla hai
Aaj raat ek nayee subah hogi
Chand ki leyp se main teri thakaan mitaunga
Main tujhe haar ne nahin dunga..

--Bibhuti

Labels: , ,

2 Comments:

Blogger Afaq Umair Khan said...

Good Poetry, bibhuti. Keep it up.

Umair Khan.

3:18 AM  
Blogger Bibhuti said...

Thank you Umair. Glad you liked it:)

6:37 AM  

Post a Comment

<< Home