Saturday, September 12, 2009

Aur Is Dil Mein Kya Rakha Hai

Aur is dil mein kya rakha hai
Tera hi dard chhupa rakha hai
Aur is dil mein kya rakha hai
Tera hi dard chhupa rakha hai
Cheer ke dekhe dil mera to
Tera hi naam likha rakha hai
Tera hi naam likha rakha hai

Pyaar ke afsaane sune the logon se
Pyaar kya hota hai, yeh tune samjhaaya
Mila dil tujhse to khwaab dekhe aise
Junoon jaane kaisa jawaan dil pe chhaaya
Dil mein aisa dard utha dil ho gaya deewana
Dil ho gaya deewana
Deewanon ne is duniya mein
Deewanon ne is duniya mein
Dard ka naam dava rakha hai
Dard ka naam dava rakha hai
Aur is dil mein kya rakha hai
Tera hi dard chhupa rakha hai
Tera hi dard chhupa rakha hai

Nigaahon mein meri yeh soorat hai teri
Zindagi yeh meri amaanat hai teri
Dhadakte seene mein mohabbat hai teri
Mohabbat yeh teri ibaadat hai meri
Tere siva kuch yaad nahin hai tu hi tu dil mein
Haan tu hi tu dil mein
Dil ne yaar ki pooja ki hai
Dil ne yaar ki pooja ki hai
Pyaar ka naam khuda rakha hai
Pyaar ka naam khuda rakha hai
Aur is dil mein kya rakha hai
Tera hi dard chhupa rakha hai
Tera hi dard chhupa rakha hai

Cheerke dekhe dil mera to
Tera hi naam likha rakha hai
Tera hi naam likha rakha hai
Tera hi naam likha rakha hai
Tera hi naam likha rakha hai





Movie : Imaandaar
Music : Kalyanji-Anandji
Lyrics : Prakash Mehra
Singer : Suresh Wadkar, Asha Bhosle

Labels: , , ,

0 Comments:

Post a Comment

<< Home