Rawayat
Ek khawb hai is khawb ko khona bhi nahin hai
Tabeer ke dhagey mein pirona bhi nahin hai
Lipta hai dil se kisi raaz ki surat,
Woh shakhs ke jis ko mera hona bhi nahin hai
Ye ishq-o-muhabbat ki rawayat bhi ajab hai
Paya nahin jis ko, usay khona bhi nahin hai
Jis shakhs ki khatir mera ye haal hai
Us nay mere jane par rona bhi nahin hai
--Ayub Khawar
Tabeer : Realization of a dream
Rawayat: Tradition
Via [anelegantemotion]

Labels: Ayub Khawar, Poetry
0 Comments:
Post a Comment
<< Home